Siraj Aurangabadi
Ghazal 124
Sher-o-Shayari 104
ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī
na to tū rahā na to maiñ rahā jo rahī so be-ḳhabarī rahī
KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-KHabari rahi
-
Share this
- See Ghazal
shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barahnagī
na ḳhirad kī baḳhiya-garī rahī na junūñ kī parda-darī rahī
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 12
Image Shayari 2
har taraf yaar kaa tamaashaa hai us ke diidaar kaa tamaashaa hai ishq aur aql me.n hu.ii hai shart jiit aur haar kaa tamaashaa hai KHalvat-e-intizaar me.n us kii dar-o-diivaar kaa tamaashaa hai siina-e-daaG daaG me.n mere sahn-e-gulzaar kaa tamaashaa hai hai shikaar-e-kamand-e-ishq 'siraaj' is gale haar kaa tamaashaa hai