Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syeda Nafis Bano shama's Photo'

Syeda Nafis Bano shama

1957 | Delhi, India

Syeda Nafis Bano shama

Ghazal 15

Sher-o-Shayari 5

bahut ġhurūr thā biphre hue samundar ko

magar jo dekhā mire āñsuoñ se kam-tar thā

bahut ghurur tha biphre hue samundar ko

magar jo dekha mere aansuon se kam-tar tha

khiḌkiyāñ khol luuñ har shaam yūñhī sochoñ

phir usī raah se yādoñ ko guzartā dekhūñ

khiDkiyan khol lun har sham yunhi sochon ki

phir usi rah se yaadon ko guzarta dekhun

ḳhvāb aur nīndoñ ḳhatm ho gayā rishta

muddatoñ se āñkhoñ meñ rat-jagoñ mausam hai

KHwab aur nindon ka KHatm ho gaya rishta

muddaton se aankhon mein rat-jagon ka mausam hai

mehr-o-vafā ḳhulūs-e-tamannā milan aas

kuchh kam nahīñ ki ham ne ye motī bachā liye

mehr-o-wafa KHulus-e-tamanna milan ki aas

kuchh kam nahin ki hum ne ye moti bacha liye

nigāh o dil meñ vahī karbalā manzar thā

maiñ tishna-lab thī mire sāmne samundar thā

nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha

main tishna-lab thi mere samne samundar tha

BOOKS 8

 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now