Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tahseen Firaqi's Photo'

Tahseen Firaqi

1950 | Lahore, Pakistan

Prominent Pakistani scholar of Urdu, Persian and Arabic, and Critic

Prominent Pakistani scholar of Urdu, Persian and Arabic, and Critic

Sher of Tahseen Firaqi

maiñ jin galiyoñ meñ paiham barsar-e-gardish rahā huuñ

maiñ un galiyoñ meñ itnā ḳhaar pahle kab huā thā

main jin galiyon mein paiham barsar-e-gardish raha hun

main un galiyon mein itna KHar pahle kab hua tha

sat.h-e-dariyā ye saffāk sukūñ hai dhokā

ye tirī naav kisī vaqt Dubo saktā hai

sath-e-dariya ka ye saffak sukun hai dhoka

ye teri naw kisi waqt Dubo sakta hai

mujh anjān kisī moḌ pe kho saktā hai

hādsa koī bhī is shahr meñ ho saktā hai

mujh sa anjaan kisi moD pe kho sakta hai

hadsa koi bhi is shahr mein ho sakta hai

bahār ab ke jo guzrī to phir na aa.egī

bichhaḌne vaale bichhaḌte samay ye kah ga.e haiñ

bahaar ab ke jo guzri to phir na aaegi

bichhaDne wale bichhaDte samay ye kah gae hain

maiñ kahāñ aur kahāñ shā.erī maiñ ne to faqat

majlis-e-sher bapā to tumhāre liye

main kahan aur kahan shaeri main ne to faqat

majlis-e-sher bapa ki to tumhaare liye ki

phir us yaad ne dastak dil-e-hazīñ par

phir āñsuoñ meñ nihāñ us ke ḳhad-o-ḳhāl hue

phir us ki yaad ne dastak dil-e-hazin par di

phir aansuon mein nihan us ke KHad-o-KHal hue

ye tai huā hai ki sher o adab ke paimāne

hamāre shahr ik yak-fanā tai karegā

ye tai hua hai ki sher o adab ke paimane

hamare shahr ka ek yak-fana hi tai karega

Recitation

Speak Now