Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Taj Saeed's Photo'

Taj Saeed

1933 - 2002 | Peshawar, Pakistan

Taj Saeed

Ghazal 6

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 4

pattā pattā shāḳh se TuuTe darvāzoñ pe vahshat

yaaro prem kathā meñ kis ne dard taan milā.ī hai

patta patta shaKH se TuTe darwazon pe wahshat si

yaro prem katha mein kis ne dard ki tan milai hai

mas.ala ye bhī to hai is ahd ai jān-e-jāñ

kyuuñ nichhāvar jaañ kareñ kis ke liye zinda raheñ

masala ye bhi to hai is ahd ka ai jaan-e-jaan

kyun nichhawar jaan karen kis ke liye zinda rahen

kis ne aa kar ham ko āvāz pichhlī raat meñ

kaun ham ko chheḌne aayā hai in lamhāt meñ

kis ne aa kar hum ko di aawaz pichhli raat mein

kaun hum ko chheDne aaya hai in lamhat mein

maiñ ne zulmat ke fusūñ se bhāgnā chāhā magar

mere pīchhe bhāgtī phirtī mirī rusvā.ī thī

main ne zulmat ke fusun se bhagna chaha magar

mere pichhe bhagti phirti meri ruswai thi

Doha 2

har ik dil moh letī thī us ik muskān

ye muskān thī saath us ke chehre pahchān

har ek ka dil moh leti thi us ki ek muskan

ye muskan thi sath us ke chehre ki pahchan

  • Share this

mujh se kannī kaaT na gorī maiñ huuñ terī chhāyā

maiñ ik daatā jogī ban kar terī galī meñ aayā

mujh se kanni kaT na gori main hun teri chhaya

main ek data jogi ban kar teri gali mein aaya

  • Share this
 

BOOKS 12

More Poets From "Peshawar"

 

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now