Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tajdar Adil's Photo'

Tajdar Adil

1955 | Pakistan

Sher of Tajdar Adil

tumhārī yaad baḌhī aur dil huā raushan

ye ek sham.a añdhere ne ḳhud jalā hai

tumhaari yaad baDhi aur dil hua raushan

ye ek shama andhere ne KHud jala li hai

vo is kamāl se khelā thā ishq baazī

maiñ apnī fat.h samajhtā thā maat hone tak

wo is kamal se khela tha ishq ki bazi

main apni fath samajhta tha mat hone tak

har musāfir ke saath aatā hai

ik nayā rāsta hamesha se

har musafir ke sath aata hai

ek naya rasta hamesha se

zaḳhm kab thā dard uThā hai ab

us ke jaane dukh huā hai ab

zaKHm kab ka tha dard uTha hai ab

us ke jaane ka dukh hua hai ab

vo jo dariyā ke biich rahtā hai

vahī pyāsā milā hamesha se

wo jo dariya ke bich rahta hai

wahi pyasa mila hamesha se

merī āñkhoñ meñ ḳhvāb haiñ jis ke

us āñkhoñ meñ rat-jagā hai ab

meri aankhon mein KHwab hain jis ke

us ki aankhon mein rat-jaga hai ab

milā thā hijr ke raste meñ sub.h mānind

bichhaḌ gayā thā musāfir se raat hone tak

mila tha hijr ke raste mein subh ki manind

bichhaD gaya tha musafir se raat hone tak

duniyā-bhar meñ jitne manzar achchhe haiñ

un husn aur shor havā tere naam

duniya-bhar mein jitne manzar achchhe hain

un ka husn aur shor hawa ka tere nam

Recitation

Speak Now