Tariq Qamar
Ghazal 35
Nazm 22
meri hijraton ki zamin par teri chahaton se likha hua
tera ek KHat mere pas hai wo mohabbaton se likha hua
Sher-o-Shayari 22
abhī baaqī hai bichhaḌnā us se
nā-mukammal ye kahānī hai abhī
abhi baqi hai bichhaDna us se
na-mukammal ye kahani hai abhi
-
Share this
- See Ghazal
koī shikva na shikāyat na vazāhat koī
mez se bas mirī tasvīr haTā dī us ne
koi shikwa na shikayat na wazahat koi
mez se bas meri taswir haTa di us ne
-
Share this
- See Ghazal
zehn par bojh rahā, dil bhī pareshān huā
in baḌe logoñ se mil kar baḌā nuqsān huā
zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
in baDe logon se mil kar baDa nuqsan hua
-
Share this
- See Ghazal
is salīqe se mujhe qatl kiyā hai us ne
ab bhī duniyā ye samajhtī hai ki zinda huuñ maiñ
is saliqe se mujhe qatl kiya hai us ne
ab bhi duniya ye samajhti hai ki zinda hun main
-
Share this
- See Ghazal
har aadmī vahāñ masrūf qahqahoñ meñ thā
ye āñsuoñ kī kahānī kise sunāte ham
har aadmi wahan masruf qahqahon mein tha
ye aansuon ki kahani kise sunate hum
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 3
kaise rishto.n ko sameTe.n ye bikharte hu.e log TuuT jaate hai.n yahii faisla karte hu.e log Gaur se dekho hame.n, dekh ke ibrat hogii aise hote hai.n bulandii se utarte hu.e log ai KHudaa ma.arka-e-lashkar-e-shab baaqii hai aur mire saath hai.n parchhaa.ii.n se Darte hu.e log mar ke dekhe.nge kabhii ham bhii, sunaa hai ham ne muskuraate hai.n tirii raah me.n marte hu.e log qaid-KHaano.n ke a.ndhero.n me.n ba.De chain se hai.n apne andar ke ujaalo.n se guzarte hu.e log kitne chehro.n pe sar-e-bazm kare.nge tanqiid aa.ina dekh ke tanhaa.ii me.n Darte hu.e log KHud-kushii karne pe aamaada o majbuur hai.n ab zindagii! ye hai.n tire ishq me.n marte hu.e log tum to be-vaj.h pareshaan hu.e ho 'taariq' yuu.nhii pesh aate hai.n va.ado.n se mukarte hu.e log