Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Tauqeer Abbas

Sher of Tauqeer Abbas

chhoḌ aayā thā mez par chaa.e

ye judā.ī isti.ārā thā

chhoD aaya tha mez par chae

ye judai ka istiara tha

vaqt kar degā faisla is

kaun sachchā hai kaun jhūTā hai

waqt kar dega faisla is ka

kaun sachcha hai kaun jhuTa hai

phir yahī baat na maiñ bhuul sakā

maiñ use bhuul gayā thā ik din

phir yahi baat na main bhul saka

main use bhul gaya tha ek din

merī āñkhoñ meñ aa ke raakh huā

jaane kis des sitārā thā

meri aankhon mein aa ke rakh hua

jaane kis des ka sitara tha

bahār dard bharā iqtibās chhoḌ ga.ī

har ik shajar badan be-libās chhoḌ ga.ī

bahaar dard bhara iqtibas chhoD gai

har ek shajar ka badan be-libas chhoD gai

lahū merī nasoñ meñ bhī kabhī jam chukā thā

badan par barf ko oḌhe nadī bhī so rahī thī

lahu meri nason mein bhi kabhi ka jam chuka tha

badan par barf ko oDhe nadi bhi so rahi thi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now