Sher of Wahid Premi
gul ġhunche āftāb shafaq chāñd kahkashāñ
aisī koī bhī chiiz nahīñ jis meñ tū na ho
gul ghunche aaftab shafaq chand kahkashan
aisi koi bhi chiz nahin jis mein tu na ho
kisī ko be-sabab shohrat nahīñ miltī hai ai 'vāhid'
unhīñ ke naam haiñ duniyā meñ jin ke kaam achchhe haiñ
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'wahid'
unhin ke nam hain duniya mein jin ke kaam achchhe hain
āzād to barsoñ se haiñ arbāb-e-gulistāñ
aa.ī na magar tāqat-e-parvāz abhī tak
aazad to barson se hain arbab-e-gulistan
aai na magar taqat-e-parwaz abhi tak
diloñ meñ zaḳhm hoñToñ par tabassum
usī kā naam to zinda-dilī hai
dilon mein zaKHm honTon par tabassum
usi ka nam to zinda-dili hai
hai shām-e-avadh gesū-e-dildār kā partav
aur sub.h-e-banaras hai ruḳh-e-yār kā partav
hai sham-e-awadh gesu-e-dildar ka partaw
aur subh-e-banaras hai ruKH-e-yar ka partaw
ba.ad taklīf ke rāhat hai yaqīnī 'vāhid'
raat kā aanā hī paiġhām-e-sahar hotā hai
baad taklif ke rahat hai yaqini 'wahid'
raat ka aana hi paigham-e-sahar hota hai
vo aur haiñ kināroñ pe paate haiñ jo sukūñ
ham ko qarār miltā hai tūfāñ kī god meñ
wo aur hain kinaron pe pate hain jo sukun
hum ko qarar milta hai tufan ki god mein
kabhī na husn-o-mohabbat meñ ban sakī 'vāhid'
vo apne naaz meñ ham apne bāñkpan meñ rahe
kabhi na husn-o-mohabbat mein ban saki 'wahid'
wo apne naz mein hum apne bankpan mein rahe
is tarah husn-o-mohabbat kī karo tum tafsīr
mujh ko ā.īna kaho aur unheñ tasvīr kaho
is tarah husn-o-mohabbat ki karo tum tafsir
mujh ko aaina kaho aur unhen taswir kaho
koī hañgāma-e-hayāt nahīñ
raat ḳhāmosh hai sahar ḳhāmosh
koi hangama-e-hayat nahin
raat KHamosh hai sahar KHamosh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī gardish ho koī ġham ho koī mushkil ho
jis ko aanā ho hamāre vo muqābil aa.e
koi gardish ho koi gham ho koi mushkil ho
jis ko aana ho hamare wo muqabil aae
haq baat sar-e-bazm bhī kahne meñ ta.ammul
haq baat sar-e-dār kaho sochte kyā ho
haq baat sar-e-bazm bhi kahne mein tammul
haq baat sar-e-dar kaho sochte kya ho
ek muddat se isī uljhan meñ huuñ
un ko yā ḳhud ko kise sajda karūñ
ek muddat se isi uljhan mein hun
un ko ya KHud ko kise sajda karun
hujūm-e-ġham se milī hai hayāt-e-nau mujh ko
hujūm-e-dard se paayā hai hausla maiñ ne
hujum-e-gham se mili hai hayat-e-nau mujh ko
hujum-e-dard se paya hai hausla main ne
merī dīvāngī-e-ishq hai ik dars-e-jahāñ
mere girne se bahut log sambhal jaate haiñ
meri diwangi-e-ishq hai ek dars-e-jahan
mere girne se bahut log sambhal jate hain
ham vo rah-rav haiñ ki chalnā hī hai maslak jin kā
ham to Thukrā deñ agar raah meñ manzil aa.e
hum wo rah-raw hain ki chalna hi hai maslak jin ka
hum to Thukra den agar rah mein manzil aae
uf gardish-e-hayāt tirī fitna-sāziyāñ
apne vatan meñ duur haiñ ahl-e-vatan se ham
uf gardish-e-hayat teri fitna-saziyan
apne watan mein dur hain ahl-e-watan se hum
rāh-e-talab kī laakh masāfat girāñ sahī
duniyā ko maiñ jahāñ bhī milā tāza-dam milā
rah-e-talab ki lakh masafat giran sahi
duniya ko main jahan bhi mila taza-dam mila
na pūchhiye ki shab-e-hijr ham pe kyā guzrī
tamām raat jale sham-e-anjuman kī tarah
na puchhiye ki shab-e-hijr hum pe kya guzri
tamam raat jale sham-e-anjuman ki tarah
shaḳhsiyyat-e-fankār muamma nahīñ 'vāhid'
fan hī meñ huā kartā hai fankār kā partav
shaKHsiyyat-e-fankar muamma nahin 'wahid'
fan hi mein hua karta hai fankar ka partaw
ka.aba-o-dair-o-kalīsā kā tajassus kyuuñ ho
jab mire qalb hī meñ merā ḳhudā hai yaaro
kaba-o-dair-o-kalisa ka tajassus kyun ho
jab mere qalb hi mein mera KHuda hai yaro
kis shaan kis vaqār se kis bāñkpan se ham
guzre haiñ āzmā.ish-e-dār-o-rasan se ham
kis shan kis waqar se kis bankpan se hum
guzre hain aazmaish-e-dar-o-rasan se hum
añdheroñ meñ ujāle DhūñDhtā huuñ
ye husn-e-zan hai yā dīvāna-pan hai
andheron mein ujale DhunDhta hun
ye husn-e-zan hai ya diwana-pan hai
maiñ auroñ ko kyā parkhūñ ā.ina-e-ālam meñ
muhtāj-e-shanāsā.ī jab apnā hī chehrā hai
main auron ko kya parkhun aaina-e-alam mein
muhtaj-e-shanasai jab apna hi chehra hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnā nafas nafas hai ki sho.ala kaheñ jise
vo zindagī hai aag kā dariyā kaheñ jise
apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise
wo zindagi hai aag ka dariya kahen jise
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āshiyāñ jalne pe buniyād na.ī paḌtī hai
aks-e-taḳhrīb ko ā.īna-e-tāmīr kaho
aashiyan jalne pe buniyaad nai paDti hai
aks-e-taKHrib ko aaina-e-tamir kaho
shab-e-firāq ka.ī baar gosha-e-dil se
uThī to aah magar aah be-asar uTThī
shab-e-firaq kai bar gosha-e-dil se
uThi to aah magar aah be-asar uTThi
kyuuñ shikva-e-be-mehrī-e-sāqī hai laboñ par
piinā hai to ḳhud baḌh ke piyo bāda-gusāro
kyun shikwa-e-be-mehri-e-saqi hai labon par
pina hai to KHud baDh ke piyo baada-gusaro