Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yaqoob Yawar's Photo'

Yaqoob Yawar

1952 | Banaras, India

Sher of Yaqoob Yawar

agar vo aaj raat hadd-e-iltifāt toḌ de

kabhī phir us se pyaar ḳhayāl bhī na aa.egā

agar wo aaj raat hadd-e-iltifat toD de

kabhi phir us se pyar ka KHayal bhi na aaega

shahr-e-suḳhan ajiib ho gayā hai

nāqid yahāñ adiib ho gayā hai

TRANSLATION

The city of poetry has turned stranger,

A critic has turned a literetteur here.

Sagar Akbarabadi

shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai

naqid yahan adib ho gaya hai

TRANSLATION

The city of poetry has turned stranger,

A critic has turned a literetteur here.

Sagar Akbarabadi

pahāḌ jaisī azmatoñ dāḳhila thā shahr meñ

ki log āgahī ishtihār le ke chal diye

pahaD jaisi azmaton ka daKHila tha shahr mein

ki log aagahi ka ishtihaar le ke chal diye

lahū mahkā to saarā shahr pāgal ho gayā hai

maiñ kis saf se uThūñ kis ke liye ḳhanjar nikālūñ

lahu mahka to sara shahr pagal ho gaya hai

main kis saf se uThun kis ke liye KHanjar nikalun

lā-makāñ meñ rahe aur maiñ makāñ meñ asiir

ye kyā ki mujh pe itā.at tirī harām huī

tu la-makan mein rahe aur main makan mein asir

ye kya ki mujh pe itaat teri haram hui

aaj bhī zaḳhm khilte haiñ sar-e-shāḳh-e-nihāl

naḳhl-e-ḳhvāhish pe vahī be-samarī rahnā thī

aaj bhi zaKHm hi khilte hain sar-e-shaKH-e-nihaal

naKHl-e-KHwahish pe wahi be-samari rahna thi

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now