Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zafar Ghauri

Zafar Ghauri

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 4

tirā yaqīn huuñ maiñ kab se is gumān meñ thā

maiñ zindagī ke baḌe saḳht imtihān meñ thā

tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

main zindagi ke baDe saKHt imtihan mein tha

dil meñ rakh zaḳhm-e-navā raah meñ kaam aa.egā

dasht-e-be-samt meñ ik maqām aa.egā

dil mein rakh zaKHm-e-nawa rah mein kaam aaega

dasht-e-be-samt mein ek hu ka maqam aaega

log samjhe apnī sachchā.ī ḳhātir jaan

varna ham to jurm iqrār karne aa.e the

log samjhe apni sachchai ki KHatir jaan di

warna hum to jurm ka iqrar karne aae the

be-charāġhāñ bastiyoñ ko zindagī de

ik sitam aisā bhī kar ījād taaza

be-charaghan bastiyon ko zindagi de

ek sitam aisa bhi kar ijad taza

Doha 2

sar apnā rakh haath pe kaun baḌhā.e haath

nezoñ ke sar chaḌhne vaale aa.eñ hamāre saath

sar apna rakh hath pe kaun baDhae hath

nezon ke sar chaDhne wale aaen hamare sath

  • Share this

sahrā meñ rah rah chamke ḳhuun ek lakīr

ik zaḳhmī āvāz kisī huī diloñ meñ tiir

sahra mein rah rah chamke KHun ki ek lakir

ek zaKHmi aawaz kisi ki hui dilon mein tir

  • Share this
 

BOOKS 3

 

Recitation

Speak Now