Sher of Zahoor Chohan
maiñ apne aap meñ taqsīm hone lagtā huuñ
use kaho ki mire sāmne na aayā kare
main apne aap mein taqsim hone lagta hun
use kaho ki mere samne na aaya kare
āḳhirī baar mulāqāt to kar lī hai magar
silsila apnī mohabbat kā kahāñ āḳhirī hai
aaKHiri bar mulaqat to kar li hai magar
silsila apni mohabbat ka kahan aaKHiri hai
rahtā huuñ maiñ jitnā saath sab ke
lagtā hai akelā ho gayā huuñ
rahta hun main jitna sath sab ke
lagta hai akela ho gaya hun
puurī ho jaatī agar koī kahānī hotī
ye mohabbat hai miyāñ is meñ kasak rahtī hai
puri ho jati agar koi kahani hoti
ye mohabbat hai miyan is mein kasak rahti hai
maiñ roz daana nahīñ Dāltā parindoñ ko
ki bhuul jā.ūñ to vo chhat pe baiThe rahte haiñ
main roz dana nahin Dalta parindon ko
ki bhul jaun to wo chhat pe baiThe rahte hain
inhī jhuke hue peḌoñ se guftugū hai mirī
janāb mere buzurgoñ se guftugū hai mirī
inhi jhuke hue peDon se guftugu hai meri
janab mere buzurgon se guftugu hai meri
suḳhan ke āḳhirī dar par sadā lagātā huuñ
'zahūr' agle zamānoñ se guftugū hai mirī
suKHan ke aaKHiri dar par sada lagata hun
'zahur' agle zamanon se guftugu hai meri
shā'irī apnā lahū is liye detā huuñ tujhe
jāntā huuñ ki tū zinda mujhe kar saktī hai
sha'iri apna lahu is liye deta hun tujhe
jaanta hun ki tu zinda mujhe kar sakti hai
zindagī kitne salīqe se guzārā hai tujhe
muskurāte bhī rahe zaḳhm bhī khāte rahe ham
zindagi kitne saliqe se guzara hai tujhe
muskuraate bhi rahe zaKHm bhi khate rahe hum
hijr se vasl kī itnī thī masāfat yaaro
rang tabdīl huā bahte hue paanī kā
hijr se wasl ki itni thi masafat yaro
rang tabdil hua bahte hue pani ka
shahr ke chaurāhe meñ āñkheñ rakh dī haiñ
bach kar vo is baar kidhar se niklegā
shahr ke chaurahe mein aankhen rakh di hain
bach kar wo is bar kidhar se niklega
us kī palkoñ pe jo chamke the 'zahūr'
mere hāthoñ meñ vo taare TuuTe
us ki palkon pe jo chamke the 'zahur'
mere hathon mein wo tare TuTe
hameñ na dafn karo kachchī-pakkī qabroñ meñ
ham ahl-e-'ilm haiñ mar kar bhī jo nahīñ marte
hamein na dafn karo kachchi-pakki qabron mein
hum ahl-e-'ilm hain mar kar bhi jo nahin marte
na.e ghar meñ har ik shai bhī na.ī hai
magar ḳhushbū usī kī aa rahī hai
nae ghar mein har ek shai bhi nai hai
magar KHushbu usi ki aa rahi hai
kabhī kabhī to mirā ghar bhī mujh se pūchhtā hai
ki is jahāñ meñ koī terā ghar bhī hai ki nahīñ
kabhi kabhi to mera ghar bhi mujh se puchhta hai
ki is jahan mein koi tera ghar bhi hai ki nahin
chhāoñ detā dhuup uThātā raste meñ
maiñ ne dekhā ek shajar darveshī meñ
chhaon deta dhup uThata raste mein
main ne dekha ek shajar darweshi mein
kisī ke saath milā huuñ baḌī mohabbat se
kabhī kabhār jo milte haiñ achchhe rahte haiñ
kisi ke sath mila hun baDi mohabbat se
kabhi kabhaar jo milte hain achchhe rahte hain
she'r kah kar kabhī dekho to khulegā tum par
itnā āsāñ nahīñ jitnā ye hunar lagtā hai
she'r kah kar kabhi dekho to khulega tum par
itna aasan nahin jitna ye hunar lagta hai