Dohe of Zakia Ghazal
kab tak jaan bachā.e phuul pe os kā nanhā qatra
pattoñ kī bhī oT meñ ho to sūraj pal pal ḳhatra
kab tak jaan bachae phul pe os ka nanha qatra
patton ki bhi oT mein ho to suraj pal pal KHatra
pahle pahle pyaar kī sājan pahlī hai barsāt
oḌh ke leTī yaad tirī aur jaag ke kaaTī raat
pahle pahle pyar ki sajan pahli hai barsat
oDh ke leTi yaad teri aur jag ke kaTi raat
tum to shaan se nikle the le haath meñ merā haath
Dar kar duniyā vāloñ se kyuuñ chhoḌ diyā hai saath
tum to shan se nikle the le hath mein mera hath
Dar kar duniya walon se kyun chhoD diya hai sath
jaane kitne mausam biite tum na lauT ke aa.e
man dukhiyārā birah kā maarā kab tak aas lagā.e
jaane kitne mausam bite tum na lauT ke aae
man dukhiyara birah ka mara kab tak aas lagae
dam bhar meñ hue sūkhe patte kāñTe aur babūl
sājan jab tak aap yahāñ the khile rahe sab phuul
dam bhar mein hue sukhe patte kanTe aur babul
sajan jab tak aap yahan the khile rahe sab phul
nain jharoke jugnū mere taare paḌ ga.e maañd
jab sājan mukh dekhe merā bole puurā chāñd
nain jharoke jugnu mere tare paD gae mand
jab sajan mukh dekhe mera bole pura chand