Zubair Qaisar
Ghazal 17
Sher-o-Shayari 6
tirā javāb mire kaam kā nahīñ hai ab
ki maiñ to bhuul chukā huuñ savāl vaise hī
tera jawab mere kaam ka nahin hai ab
ki main to bhul chuka hun sawal waise hi
-
Share this
- See Ghazal
ye nafsiyātī marīzoñ kā shahr hai 'qaisar'
koī savāl uThāoge maare jāoge
ye nafsiyati marizon ka shahr hai 'qaisar'
koi sawal uThaoge mare jaoge
-
Share this
- See Ghazal
maiñ us ke jaal meñ ā.ūñgā dekhnā 'qaisar'
vo mujh ko dhoke se ghar meñ bulā ke māregā
main us ke jal mein aaunga dekhna 'qaisar'
wo mujh ko dhoke se ghar mein bula ke marega
-
Share this
- See Ghazal
tirī tasvīr uThā.ī huī hai
raushnī ḳhvāb meñ aa.ī huī hai
teri taswir uThai hui hai
raushni KHwab mein aai hui hai
-
Share this
- See Ghazal
sub.h tak be-talab maiñ jāgūñgā
aaj to be-sabab maiñ jāgūñgā
subh tak be-talab main jagunga
aaj to be-sabab main jagunga
-
Share this
- See Ghazal