Sher of Zulfiqar Aadil
baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh
mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā lī hai
baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh
mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
ravānī meñ nazar aatā hai jo bhī
use taslīm kar lete haiñ paanī
rawani mein nazar aata hai jo bhi
use taslim kar lete hain pani
yuuñ uThe ik din ki logoñ ko huā
abr kā dhokā hamārī ḳhaak par
yun uThe ek din ki logon ko hua
abr ka dhoka hamari KHak par
dasht-o-dariyā kī ibtidā se haiñ
ham vahī tiin din ke pyāse haiñ
dasht-o-dariya ki ibtida se hain
hum wahi tin din ke pyase hain
'ādil' saje hue haiñ sabhī ḳhvāb ḳhvān par
aur intizār-e-ḳhalq-e-ḳhudā kar rahe haiñ ham
'adil' saje hue hain sabhi KHwab KHwan par
aur intizar-e-KHalq-e-KHuda kar rahe hain hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baiThe baiThe isī ġhubār ke saath
ab to uḌnā bhī aa gayā hai mujhe
baiThe baiThe isi ghubar ke sath
ab to uDna bhi aa gaya hai mujhe
vāpas palaT rahe haiñ azal kī talāsh meñ
mansūḳh aap apnā likhā kar rahe haiñ ham
wapas palaT rahe hain azal ki talash mein
mansuKH aap apna likha kar rahe hain hum
-
Tag : Azal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kis ne haat peshānī pe rakkhā
hamārī niiñd puurī ho ga.ī hai
ye kis ne hat peshani pe rakkha
hamari nind puri ho gai hai