Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mukhtar Siddiqui's Photo'

Mukhtar Siddiqui

1919 - 1972

Sher of Mukhtar Siddiqui

337
Favorite

SORT BY

merī āñkhoñ meñ the an-kahe pahlū us ke

vo jo ik baat sunī merī zabānī tum ne

meri aankhon hi mein the an-kahe pahlu us ke

wo jo ek baat suni meri zabani tum ne

maiñ to har dhuup meñ sāyoñ rahā huuñ juuyā

mujh se likhvā.ī sarāboñ kahānī tum ne

main to har dhup mein sayon ka raha hun juya

mujh se likhwai sarabon ki kahani tum ne

ibrat-ābād bhī dil hote haiñ insānoñ ke

daad miltī bhī nahīñ ḳhūñ-shuda armānoñ

ibrat-abaad bhi dil hote hain insanon ke

dad milti bhi nahin KHun-shuda armanon ki

bastiyāñ kaise na mamnūn hoñ dīvānoñ

vus.ateñ in meñ vahī laate haiñ vīrānoñ

bastiyan kaise na mamnun hon diwanon ki

wusaten in mein wahi late hain viranon ki

kabhī fāsloñ masāfatoñ pe ubuur ho to ye kah sukūñ

mirā jurm hasrat-e-qurb hai to yahī kamī yahāñ sab meñ hai

kabhi faslon ki masafaton pe ubur ho to ye kah sukun

mera jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab mein hai

sahar-e-azal ko jo ga.ī vahī aaj tak hai musāfirī

ai tai kareñ to pata chale kahāñ kaun kis talab meñ hai

sahar-e-azal ko jo di gai wahi aaj tak hai musafiri

ai tai karen to pata chale kahan kaun kis ki talab mein hai

pherā bahār to baras do baras meñ hai

ye chaal hai ḳhizāñ jo ruk ruk ke tham ga.ī

phera bahaar ka to baras do baras mein hai

ye chaal hai KHizan ki jo ruk ruk ke tham gai

nūr-e-sahar kahāñ hai agar shām-e-ġham ga.ī

kab iltifāt thā ki jo ḳhū-e-sitam ga.ī

nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai

kab iltifat tha ki jo KHu-e-sitam gai

kyā kyā pukāreñ sisaktī dekhīñ lafzoñ ke zindānoñ meñ

chup talqīn kare hai ġhairat-mañd zamīr hameñ

kya kya pukaren sisakti dekhin lafzon ke zindanon mein

chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein

jin ḳhayāloñ ke ulaT pher meñ uljhīñ sāñseñ

un meñ kuchh aur bhī sāñsoñ izāfa kar leñ

jin KHayalon ke ulaT pher mein uljhin sansen

un mein kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len

raat ke ba.ad vo sub.h kahāñ hai din ke ba.ad vo shaam kahāñ

jo āshufta-sarī hai muqaddar us meñ qaid-e-maqām kahāñ

raat ke baad wo subh kahan hai din ke baad wo sham kahan

jo aashufta-sari hai muqaddar us mein qaid-e-maqam kahan

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now