Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saqib Lakhnavi's Photo'

Saqib Lakhnavi

1869 - 1946 | Lucknow, India

Prominent later –classical poet / known for his couplet - ‘Bade ghaur se sun raha tha zamana….

Prominent later –classical poet / known for his couplet - ‘Bade ghaur se sun raha tha zamana….

Sher of Saqib Lakhnavi

8.8K
Favorite

SORT BY

zamāna baḌe shauq se sun rahā thā

hamīñ so ga.e dāstāñ kahte kahte

zamana baDe shauq se sun raha tha

hamin so gae dastan kahte kahte

bāġhbāñ ne aag jab āshiyāne ko mire

jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage

baghban ne aag di jab aashiyane ko mere

jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage

aadhī se ziyāda shab-e-ġham kaaT chukā huuñ

ab bhī agar aa jaao to ye raat baḌī hai

aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun

ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai

muTThiyoñ meñ ḳhaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn

zindagī bhar mohabbat silā dene lage

muTThiyon mein KHak le kar dost aae waqt-e-dafn

zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage

mushkil-e-ishq meñ lāzim hai tahammul 'sāqib'

baat bigḌī huī bantī nahīñ ghabrāne se

mushkil-e-ishq mein lazim hai tahammul 'saqib'

baat bigDi hui banti nahin ghabrane se

sunñe vaale ro diye sun kar marīz-e-ġham haal

dekhne vaale taras khā kar duā dene lage

sunne wale ro diye sun kar mariz-e-gham ka haal

dekhne wale taras kha kar dua dene lage

hijr shab nāla-e-dil vo sadā dene lage

sunñe vaale raat kaTne duā dene lage

hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage

sunne wale raat kaTne ki dua dene lage

jis shaḳhs ke jiite pūchhā na gayā 'sāqib'

us shaḳhs ke marne par uTThe haiñ qalam kitne

jis shaKHs ke jite ji puchha na gaya 'saqib'

us shaKHs ke marne par uTThe hain qalam kitne

apne dil-e-betāb se maiñ ḳhud huuñ pareshāñ

kyā duuñ tumheñ ilzām maiñ kuchh soch rahā huuñ

apne dil-e-betab se main KHud hun pareshan

kya dun tumhein ilzam main kuchh soch raha hun

sone vāloñ ko kyā ḳhabar ai hijr

kyā huā ek shab meñ kyā na huā

sone walon ko kya KHabar ai hijr

kya hua ek shab mein kya na hua

bū-e-gul phūloñ meñ rahtī thī magar rah na sakī

maiñ to kāñToñ meñ rahā aur pareshāñ na huā

bu-e-gul phulon mein rahti thi magar rah na saki

main to kanTon mein raha aur pareshan na hua

ai chaman vaalo chaman meñ yuuñ guzārā chāhiye

bāġhbāñ bhī ḳhush rahe raazī rahe sayyād bhī

ai chaman walo chaman mein yun guzara chahiye

baghban bhi KHush rahe raazi rahe sayyaad bhi

kis nazar se aap ne dekhā dil-e-majrūh ko

zaḳhm jo kuchh bhar chale the phir havā dene lage

kis nazar se aap ne dekha dil-e-majruh ko

zaKHm jo kuchh bhar chale the phir hawa dene lage

us ke sunñe ke liye jama.a huā hai mahshar

rah gayā thā jo fasāna mirī rusvā.ī

us ke sunne ke liye jama hua hai mahshar

rah gaya tha jo fasana meri ruswai ka

dīda-e-dost tirī chasm-numā.ī qasam

maiñ to samjhā thā ki dar khul gayā mai-ḳhāne

dida-e-dost teri chasm-numai ki qasam

main to samjha tha ki dar khul gaya mai-KHane ka

aap uTh rahe haiñ kyuuñ mire āzār dekh kar

dil Dūbte haiñ hālat-e-bīmār dekh kar

aap uTh rahe hain kyun mere aazar dekh kar

dil Dubte hain haalat-e-bimar dekh kar

balā se ho pāmāl saarā zamāna

na aa.e tumheñ paañv rakhnā sambhal kar

bala se ho pamal sara zamana

na aae tumhein panw rakhna sambhal kar

chal ai ham-dam zarā sāz-e-tarab chheḌ bhī sun leñ

agar dil baiTh jā.egā to uTh ā.eñge mahfil se

chal ai ham-dam zara saz-e-tarab ki chheD bhi sun len

agar dil baiTh jaega to uTh aaenge mahfil se

kahne ko musht-e-par asīrī to thī magar

ḳhāmosh ho gayā hai chaman boltā huā

kahne ko musht-e-par ki asiri to thi magar

KHamosh ho gaya hai chaman bolta hua

Recitation

Speak Now