SEARCH RESULTS
Showing search results for "shagufta"
Sher MATCHES FOR "shagufta"
Sher
Farhat Ehsas
Sher
tashbiih tire chehre ko kyaa duu.n gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
na sharmaa.o aa.nkhe.n milaa kar to dekho
mulaaqaat hai ham se tum se kabhii kii
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
shagufta phuul jo dekhe to 'shauq' yaad aayaa
diye the daaG bhii gulshan ne be-shumaar mujhe
Shauq Asar Rampuri
Sher
ai sarv-e-gul-chaman tuu zaraa Tuk chaman me.n aa
jyuu.n gul shagufta ho ke mirii anjuman me.n aa
Abul Hasan Tana Shah
Sher
shagufta baaG-e-suKHan hai hamii.n se ai 'saabir'
jahaa.n me.n misl-e-nasiim-e-bahaar ham bhii hai.n
Fazal Husain Sabir
Sher
dekho nigaah-e-shauq se merii taraf mujhe
ye mudda.aa hai aur ko.ii mudda.aa nahii.n
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
mirii jaanib ko karvaT le ke gar mujh se lipaT jaa.o
abhii dene lage mirii tarah tum ko du.aa karvaT
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
mujh ko rote dekh kar paas aa.e vo tafhiim ko
kyuu.n na dil se duu.n du.aa.e.n apne Gain o miim ko
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
bahut shagufta-o-ra.ngiin guftuguu hai 'siraaj'
chaman me.n baat tirii ra.ng-o-buu se khelegii
Afeef Siraj
Sher
jo husn-o-ishq kaa ham-vazn imtihaa.n Thahraa
vo be-dahan nazar aayaa me.n be-zabaa.n Thahraa
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
Mohammad Deen Taseer
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
dil hai nisaar mardumak-e-chashm-e-dost par
biimaar ko hai mardum-e-biimaar se Garaz
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
ba-shakl-e-naaKHun-e-a.ngusht sar kaTaane se
hayaat miltii hai jab intiqaal hotaa hai