kisī ke zaḳhm par chāhat se paTTī kaun bāñdhegā
agar bahneñ nahīñ hoñgī to rākhī kaun bāñdhegā
kisi ke zaKHm par chahat se paTTi kaun bandhega
agar bahnen nahin hongi to rakhi kaun bandhega
bahan kī iltijā maañ kī mohabbat saath chaltī hai
vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai
bahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai
wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai
bahan kā pyaar judā.ī se kam nahīñ hotā
agar vo duur bhī jaa.e to ġham nahīñ hotā
bahan ka pyar judai se kam nahin hota
agar wo dur bhi jae to gham nahin hota
yā rab mirī duāoñ meñ itnā asar rahe
phūloñ bharā sadā mirī bahnā kā ghar rahe
ya rab meri duaon mein itna asar rahe
phulon bhara sada meri bahna ka ghar rahe
zindagī bhar kī hifāzat kī qasam khāte hue
bhaa.ī ke haath pe ik bahan ne rākhī bāñdhī
zindagi bhar ki hifazat ki qasam khate hue
bhai ke hath pe ek bahan ne rakhi bandhi
gulshan se koī phuul mayassar na jab huā
titlī ne rākhī bāñdh dī kāñTe kī nok par
gulshan se koi phul mayassar na jab hua
titli ne rakhi bandh di kanTe ki nok par
bahnoñ kī mohabbat kī hai azmat kī alāmat
rākhī kā hai tyauhār mohabbat kī alāmat
bahnon ki mohabbat ki hai azmat ki alamat
rakhi ka hai tyauhaar mohabbat ki alamat
bandhan sā ik bañdhā thā rag-o-pai se jism meñ
marne ke ba.ad haath se motī bikhar ga.e
bandhan sa ek bandha tha rag-o-pai se jism mein
marne ke baad hath se moti bikhar gae
āsthā kā rañg aa jaa.e agar māhaul meñ
ek rākhī zindagī kā ruḳh badal saktī hai aaj
aastha ka rang aa jae agar mahaul mein
ek rakhi zindagi ka ruKH badal sakti hai aaj
rākhiyāñ le ke silonoñ kī barahman nikleñ
taar bārish kā to TuuTe koī saa.at koī pal
rakhiyan le ke silonon ki barahman niklen
tar barish ka to TuTe koi saat koi pal
azal se barse hai pākīzgī falak se yahāñ
numāyāñ hove hai phir shakl-e-bahan meñ vo yahāñ
azal se barse hai pakizgi falak se yahan
numayan howe hai phir shakl-e-bahan mein wo yahan