Sher on Shaheed
The idea of martyrdom
is associated with religious faith. As such, a martyr is one who sacrifices his life for common good and becomes an exemplary character for the following generations. In Urdu poetry, a martyr is also one who suffers in love and sacrifices himself for the beloved. You may appreciate here certain interesting shades of meaning that martyr and martyrdom put forward.
lahū vatan ke shahīdoñ kā rañg laayā hai
uchhal rahā hai zamāne meñ nām-e-āzādī
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai
uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi
-
Tags : Deshbhaktiand 1 more
ḳhuuñ shahīdān-e-vatan kā rañg lā kar hī rahā
aaj ye jannat-nishāñ hindostāñ āzād hai
KHun shahidan-e-watan ka rang la kar hi raha
aaj ye jannat-nishan hindostan aazad hai
na hogā rā.egāñ ḳhūn-e-shahīdān-e-vatan hargiz
yahī surḳhī banegī ek din unvān-e-āzādī
na hoga raegan KHun-e-shahidan-e-watan hargiz
yahi surKHi banegi ek din unwan-e-azadi
-
Tag : Deshbhakti
na intizār karo in kā ai azā-dāro
shahīd jaate haiñ jannat ko ghar nahīñ aate
na intizar karo in ka ai aza-daro
shahid jate hain jannat ko ghar nahin aate
-
Tag : Intezar
kin shahīdoñ ke lahū ke ye farozāñ haiñ charāġh
raushnī sī jo hai zindāñ ke har ik rauzan meñ
kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh
raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein
-
Tag : Zindan
hai lahū shahīdoñ kā naqsh-e-jāvedāñ yaaro
maqtaloñ meñ hotī hai aaj bhī azaañ yaaro
hai lahu shahidon ka naqsh-e-jawedan yaro
maqtalon mein hoti hai aaj bhi azan yaro
ham ho ga.e shahīd ye e.azāz to milā
ahl-e-junūñ ko nukta-e-āġhāz to milā
hum ho gae shahid ye eazaz to mila
ahl-e-junun ko nukta-e-aghaz to mila
vallāh in shahīdoñ kā me.aar dekh kar
hai marg-e-shauq aur sivā daar dekh kar
wallah in shahidon ka mear dekh kar
hai marg-e-shauq aur siwa dar dekh kar
maujib-e-rañg-e-chaman ḳhūn-e-shahīdāñ niklā
maut kī jeb se bhī ziist kā sāmāñ niklā
maujib-e-rang-e-chaman KHun-e-shahidan nikla
maut ki jeb se bhi zist ka saman nikla
shahīdoñ kā tire shohra zamīñ se āsmāñ tak hai
falak se balki aage baḌh ke tere āstāñ tak hai
shahidon ka tere shohra zamin se aasman tak hai
falak se balki aage baDh ke tere aastan tak hai
zarā vo ḳhaak meñ milne na de ḳhūn-e-shahīdāñ ko
ḳhudā taufīq de itnī zamīn-e-kū-e-jānāñ ko
zara wo KHak mein milne na de KHun-e-shahidan ko
KHuda taufiq de itni zamin-e-ku-e-jaanan ko