aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bekhud Dehlvi's Photo'

Bekhud Dehlvi

1863 - 1955 | Delhi, India

Disciple of Dagh Dehlvi.

Disciple of Dagh Dehlvi.

TOP 20 SHAYARI of Bekhud Dehlvi

adā.eñ dekhne baiThe ho kyā ā.īne meñ apnī

diyā hai jis ne tum jaise ko dil us jigar dekho

adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni

diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho

jaadū hai tilism tumhārī zabān meñ

tum jhuuT kah rahe the mujhe e'tibār thā

jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein

tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha

baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahlū hoñ

koī pahlū to rahe baat badalne ke liye

baat wo kahiye ki jis baat ke sau pahlu hon

koi pahlu to rahe baat badalne ke liye

dil mohabbat se bhar gayā 'beḳhud'

ab kisī par fidā nahīñ hotā

dil mohabbat se bhar gaya 'beKHud'

ab kisi par fida nahin hota

raah meñ baiThā huuñ maiñ tum sañg-e-rah samjho mujhe

aadmī ban jā.ūñgā kuchh Thokareñ khāne ke ba.ad

rah mein baiTha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe

aadmi ban jaunga kuchh Thokaren khane ke baad

sun ke saarī dāstān-e-rañj-o-ġham

kah diyā us ne ki phir ham kyā kareñ

sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham

kah diya us ne ki phir hum kya karen

dil to lete ho magar ye bhī rahe yaad tumheñ

jo hamārā na huā kab vo tumhārā hogā

dil to lete ho magar ye bhi rahe yaad tumhein

jo hamara na hua kab wo tumhaara hoga

aa.ina dekh kar vo ye samjhe

mil gayā husn-e-be-misāl hameñ

aaina dekh kar wo ye samjhe

mil gaya husn-e-be-misal hamein

mujh ko na dil pasand na vo bevafā pasand

donoñ haiñ ḳhud-ġharaz mujhe donoñ haiñ nā-pasand

mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand

donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand

vo kuchh muskurānā vo kuchh jheñp jaanā

javānī adā.eñ sikhātī haiñ kyā kyā

wo kuchh muskurana wo kuchh jhenp jaana

jawani adaen sikhati hain kya kya

hameñ piine se matlab hai jagah qaid kyā 'beḳhud'

usī naam jannat rakh diyā botal jahāñ rakh

hamein pine se matlab hai jagah ki qaid kya 'beKHud'

usi ka nam jannat rakh diya botal jahan rakh di

na dekhnā kabhī ā.īna bhuul kar dekho

tumhāre husn paidā javāb kar degā

na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho

tumhaare husn ka paida jawab kar dega

hūroñ se na hogī ye mudārāt kisī

yaad aa.egī jannat meñ mulāqāt kisī

huron se na hogi ye mudaraat kisi ki

yaad aaegi jannat mein mulaqat kisi ki

baat karne shab-e-vasl ijāzat de do

mujh ko dam bhar ke liye ġhair qismat de do

baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do

mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do

muñh meñ vaa.iz ke bhī bhar aatā hai paanī aksar

jab kabhī tazkira-e-jām-e-sharāb aatā hai

munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar

jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai

qasam vasl meñ us but ko ḳhudā to kahā

tujh ko aatā hai ḳhudā yaad hamāre hote

di qasam wasl mein us but ko KHuda ki to kaha

tujh ko aata hai KHuda yaad hamare hote

tum ko āshufta-mizājoñ ḳhabar se kyā kaam

tum sañvārā karo baiThe hue gesū apne

tum ko aashufta-mizajon ki KHabar se kya kaam

tum sanwara karo baiThe hue gesu apne

jhūTā jo kahā maiñ ne to sharmā ke vo bole

allāh bigāḌe na banī baat kisī

jhuTa jo kaha main ne to sharma ke wo bole

allah bigaDe na bani baat kisi ki

chashm-e-bad-dūr vo bhole bhī haiñ nādāñ bhī haiñ

zulm bhī mujh pe kabhī soch-samajh kar na huā

chashm-e-bad-dur wo bhole bhi hain nadan bhi hain

zulm bhi mujh pe kabhi soch-samajh kar na hua

chalne nahīñ aaj koī ghaat kisī

sunñe ke nahīñ vasl meñ ham baat kisī

chalne ki nahin aaj koi ghat kisi ki

sunne ke nahin wasl mein hum baat kisi ki

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now