Baarish Shayari
bārish sharāb-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
bārish ke sab hurūf ko ulTā ke pī gayā
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
barish ke sab huruf ko ulTa ke pi gaya
yaad aa.ī vo pahlī bārish
jab tujhe ek nazar dekhā thā
yaad aai wo pahli barish
jab tujhe ek nazar dekha tha
-
Tags : Barishand 1 more
ham se pūchho mizāj bārish kā
ham jo kachche makān vaale haiñ
hum se puchho mizaj barish ka
hum jo kachche makan wale hain
bārish huī to ghar ke darīche se lag ke ham
chup-chāp sogvār tumheñ sochte rahe
barish hui to ghar ke dariche se lag ke hum
chup-chap sogwar tumhein sochte rahe
kitnī dilkash haiñ ye bārish kī phuvāreñ lekin
aisī bārish meñ mirī jaan bhī jā saktī hai
kitni dilkash hain ye barish ki phuwaren lekin
aisi barish mein meri jaan bhi ja sakti hai
chale aate haiñ be-mausam kī bārish kī tarah aañsū
basā-auqāt rone kā sabab kuchh bhī nahīñ hotā
chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu
basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota
thoḌī sī bārish hotī hai
kitnī jaldī bhar jaatā huuñ
thoDi si barish hoti hai
kitni jaldi bhar jata hun
yuuñ dil meñ aaj nuur kī bārish huī 'jamīl'
jaise koī charāġh jalā de bujhā huā
yun dil mein aaj nur ki barish hui 'jamil'
jaise koi charagh jala de bujha hua
bārish kī bahut tez havā meñ kahīñ mujh ko
darpesh thā ik marhala jalne kī tarah kā
barish ki bahut tez hawa mein kahin mujh ko
darpesh tha ek marhala jalne ki tarah ka
ā.ankhoñ kī pyāliyoñ meñ bārish machī huī hai
sahrā meñ koī manzar shādāb aa rahā hai
aaankhon ki pyaliyon mein barish machi hui hai
sahra mein koi manzar shadab aa raha hai