Best Dialogue shayari
aañkh se duur na ho dil se utar jā.egā
vaqt kā kyā hai guzartā hai guzar jā.egā
aankh se dur na ho dil se utar jaega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega
aañkh meñ paanī rakho hoñToñ pe chiñgārī rakho
zinda rahnā hai to tarkībeñ bahut saarī rakho
aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
zulfeñ siina naaf kamar
ek nadī meñ kitne bhañvar
zulfen sina naf kamar
ek nadi mein kitne bhanwar
-
Tags : Kamarand 1 more
ye khulā jism khule baal ye halke malbūs
tum na.ī sub.h kā āġhāz karoge shāyad
ye khula jism khule baal ye halke malbus
tum nai subh ka aaghaz karoge shayad
baal apne us parī-rū ne sañvāre raat bhar
saañp loTe saikḌoñ dil par hamāre raat bhar
baal apne us pari-ru ne sanware raat bhar
sanp loTe saikDon dil par hamare raat bhar
aayā hai ik rāh-numā ke istiqbāl ko ik bachcha
peT hai ḳhālī aañkh meñ hasrat hāthoñ meñ gul-dasta hai
aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha
peT hai KHali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai
-
Tag : Muflisi
bāl-o-par bhī ga.e bahār ke saath
ab tavaqqo.a nahīñ rihā.ī kī
baal-o-par bhi gae bahaar ke sath
ab tawaqqoa nahin rihai ki
aa.ina aa.ina tairtā koī aks
aur har ḳhvāb meñ dūsrā ḳhvāb hai
aaina aaina tairta koi aks
aur har KHwab mein dusra KHwab hai
-
Tags : Aainaand 1 more
na hoñ paise to istiqbāliyoñ se kuchh nahīñ hogā
kisī shā.er ko ḳhālī tāliyoñ se kuchh nahīñ hogā
na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hoga
kisi shaer ko KHali taliyon se kuchh nahin hoga
jamunā meñ kal nahā kar jab us ne baal bāñdhe
ham ne bhī apne dil meñ kyā kyā ḳhayāl bāñdhe
jamuna mein kal naha kar jab us ne baal bandhe
hum ne bhi apne dil mein kya kya KHayal bandhe
ham na kahte the shā.irī hai vabāl
aaj lo ghir ga.e hasīnoñ meñ
hum na kahte the shairi hai wabaal
aaj lo ghir gae hasinon mein
ā.īna le ke dekh zarā apne husn ko
aa.egī ye bahār-e-gulistāñ ḳhizāñ meñ yaad
aaina le ke dekh zara apne husn ko
aaegi ye bahaar-e-gulistan KHizan mein yaad
baal khole nahīñ phirtā hai agar vo saffāk
phir kaho kyuuñ mujhe āshufta-sarī rahtī hai
baal khole nahin phirta hai agar wo saffak
phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai
zulf kā haal tak kabhī na sunā
kyuuñ pareshāñ mirā dimāġh huā
zulf ka haal tak kabhi na suna
kyun pareshan mera dimagh hua