Best of Jashn-e-Rekhta 2022: Young Poets
This is a collection of few selected couplets narrated in the Young Poets Mushaira of Jashn-e-Rekhta 2022.
tum us ke paas ho jis ko tumhārī chaah na thī
kahāñ pe pyaas thī dariyā kahāñ banāyā gayā
tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi
kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya
-
Tags : Dariyaand 2 more
mere alāva use ḳhud se bhī mohabbat hai
aur aisā karne se vo bevafā nahīñ hotī
mere alawa use KHud se bhi mohabbat hai
aur aisa karne se wo bewafa nahin hoti
-
Tag : Bewafai
vo sāf-go hai magar baat kā hunar sīkhe
badan hasīñ hai to kyā be-libās aa.egā
wo saf-go hai magar baat ka hunar sikhe
badan hasin hai to kya be-libas aaega
-
Tags : Badanand 1 more
dikhāvā hī karnā hai to phir baḌā kar
tū shā.ir nahīñ ḳhud ko āshiq kahā kar
dikhawa hi karna hai to phir baDa kar
tu shair nahin KHud ko aashiq kaha kar
-
Tag : Aashiq
ā.īye paas baiThiye mere
mil ke kuchh fāsle banāte haiñ
aaiye pas baiThiye mere
mil ke kuchh fasle banate hain
-
Tag : Fasla
tumhāre ḳhat meñ nazar aa.ī itnī ḳhāmoshī
ki mujh ko rakhne paḌe apne kaan kāġhaz par
tumhaare KHat mein nazar aai itni KHamoshi
ki mujh ko rakhne paDe apne kan kaghaz par
-
Tags : Khamoshiand 1 more
unhoñ ne apne mutābiq sazā sunā dī hai
hameñ sazā ke mutābiq bayān denā hai
unhon ne apne mutabiq saza suna di hai
hamein saza ke mutabiq bayan dena hai
sirf shikve dikh rahe haiñ ye nahīñ dikhtā tujhe
tujh se shikve rakhne vaalā terā dīvāna bhī hai
sirf shikwe dikh rahe hain ye nahin dikhta tujhe
tujh se shikwe rakhne wala tera diwana bhi hai
merī to jaan hī nikal ga.ī jab
dost kah kar mujhe pukārā gayā
meri to jaan hi nikal gai jab
dost kah kar mujhe pukara gaya
-
Tag : Dost
ġhamoñ se bair thā so ham ne ḳhud-kushī kar lī
shajar girā ke parindoñ se intiqām liyā
ghamon se bair tha so hum ne KHud-kushi kar li
shajar gira ke parindon se intiqam liya
-
Tags : Ghamand 2 more
be-fikr raho yaaro maiñ aaj bhī huuñ barbād
din phir ga.e haiñ mere afvāh uḌī hogī
be-fikr raho yaro main aaj bhi hun barbaad
din phir gae hain mere afwah uDi hogi
ab ke milī shikast mirī or se mujhe
jitvā diyā gayā kisī kamzor se mujhe
ab ke mili shikast meri or se mujhe
jitwa diya gaya kisi kamzor se mujhe
sach nahīñ hai anaaj kī qillat
yaar faaqe yahāñ zamīr ke haiñ
sach nahin hai anaj ki qillat
yar faqe yahan zamir ke hain
vo ḳhush huā ki us ko ḳhasārā nahīñ huā
maiñ ro rahā thā merā sahārā chalā gayā
wo KHush hua ki us ko KHasara nahin hua
main ro raha tha mera sahaara chala gaya
-
Tag : Khushi
maiñ abhī hañstā uThūñ aur chahakne lag jā.ūñ
par ye mushkil hai mirā yaar nahīñ maan rahā
main abhi hansta uThun aur chahakne lag jaun
par ye mushkil hai mera yar nahin man raha
kuuza jaise ki chhalak jaa.e hai bhar jaane par
koī aañsū hī bahā de mire mar jaane par
kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par
koi aansu hi baha de mere mar jaane par
-
Tag : Aansoo