Bewafai Ki Shayari
bevafā.ī pe terī jī hai fidā
qahr hotā jo bā-vafā hotā
I sacrifice my heart upon your infidelity
were you faithful it would be a calamity
bewafai pe teri ji hai fida
qahr hota jo ba-wafa hota
I sacrifice my heart upon your infidelity
were you faithful it would be a calamity
jo milā us ne bevafā.ī kī
kuchh ajab rañg hai zamāne kā
jo mila us ne bewafai ki
kuchh ajab rang hai zamane ka
tū is tarah se mire saath bevafā.ī kar
ki tere ba.ad mujhe koī bevafā na lage
tu is tarah se mere sath bewafai kar
ki tere baad mujhe koi bewafa na lage
gila likhūñ maiñ agar terī bevafā.ī kā
lahū meñ ġharq safīna ho āshnā.ī kā
gila likhun main agar teri bewafai ka
lahu mein gharq safina ho aashnai ka
ham ne aalam se bevafā.ī kī
ek māshūq-e-bevafā ke liye
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
vafā par naaz ham ko un ko apnī bevafā.ī par
koī muñh aa.ine meñ dekhtā hai koī paanī meñ
wafa par naz hum ko un ko apni bewafai par
koi munh aaine mein dekhta hai koi pani mein
umr bhar us ne bevafā.ī kī
umr se bhī vo bā-vafā na rahā
umr bhar us ne bewafai ki
umr se bhi wo ba-wafa na raha
maiñ kis liye tujhe ilzām-e-bevafā.ī duuñ
ki maiñ to aap hī patthar huuñ apne raste kā
main kis liye tujhe ilzam-e-bewafai dun
ki main to aap hi patthar hun apne raste ka
vo kahte haiñ ye saarī bevafā.ī hai mohabbat kī
na 'muztar' be-vafā maiñ huuñ na 'muztar' be-vafā tum ho
wo kahte hain ye sari bewafai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-wafa main hun na 'muztar' be-wafa tum ho
rañg kyā ajab diyā merī bevafā.ī ko
us ne yuuñ kiyā ki mere ḳhat jalā.e uud meñ
rang kya ajab diya meri bewafai ko
us ne yun kiya ki mere KHat jalae ud mein