EID KE CHAAND:NA JAANE KABSE TERA INTIZAAR THA
The moon of Eid is very special because Eid is celebrated the very next day of seeing the moon. Hence, why everyone is eager to see the moon of Eid. In Urdu poetry, the poets have given a lot of importance to the moon of Eid and have used it in different ways. Read and enjoy this collection.
eid kā chāñd tum ne dekh liyā
chāñd kī eid ho ga.ī hogī
eid ka chand tum ne dekh liya
chand ki eid ho gai hogi
vo chāñd kah ke gayā thā ki aaj niklegā
to intizār meñ baiThā huā huuñ shaam se maiñ
wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega
to intizar mein baiTha hua hun sham se main
jis taraf tū hai udhar hoñgī sabhī kī nazreñ
iid ke chāñd kā dīdār bahāna hī sahī
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
id ke chand ka didar bahana hi sahi
dekhā hilāl-e-eid to aayā terā ḳhayāl
vo āsmāñ kā chāñd hai tū merā chāñd hai
dekha hilal-e-eid to aaya tera KHayal
wo aasman ka chand hai tu mera chand hai
mujh ko ma.alūm hai mahbūb-parastī kā azaab
der se chāñd nikalnā bhī ġhalat lagtā hai
mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai
-
Tag : Chaand
māh-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanā hargiz
shahr meñ eid kī tārīḳh badal jā.egī
mah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaana hargiz
shahr mein eid ki tariKH badal jaegi
-
Tag : Eid
ai kaash hamārī qismat meñ aisī bhī koī shaam aa jaa.e
ik chāñd falak par niklā ho ik chāñd sar-e-bām aa jaa.e
ai kash hamari qismat mein aisi bhi koi sham aa jae
ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam aa jae
-
Tags : Baamand 1 more
iid ke ba.ad vo milne ke liye aa.e haiñ
iid kā chāñd nazar aane lagā iid ke ba.ad
id ke baad wo milne ke liye aae hain
id ka chand nazar aane laga id ke baad
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hāsil ho
ik chāñd baġhal meñ ho ik chāñd muqābil ho
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hasil ho
ek chand baghal mein ho ek chand muqabil ho
dekhā hilāl-e-īd to tum yaad aa ga.e
is mahviyat meñ iid hamārī guzar ga.ī
dekha hilal-e-id to tum yaad aa gae
is mahwiyat mein id hamari guzar gai
tū aa.e to mujh ko bhī
iid kā chāñd dikhā.ī de
tu aae to mujh ko bhi
id ka chand dikhai de
-
Tag : Eid
chhup gayā eid kā chāñd nikal kar der huī par jaane kyoñ
nazreñ ab tak Tikī huī haiñ masjid ke mīnāroñ par
chhup gaya eid ka chand nikal kar der hui par jaane kyon
nazren ab tak Tiki hui hain masjid ke minaron par
-
Tags : Chaandand 1 more
tū na aa.egā to ho jā.eñgī ḳhushiyāñ sab ḳhaak
iid kā chāñd bhī ḳhālī kā mahīna hogā
tu na aaega to ho jaengi KHushiyan sab KHak
id ka chand bhi KHali ka mahina hoga
shaam ke saa.e bālishtoñ se naape haiñ
chāñd ne kitnī der lagā dī aane meñ
sham ke sae baalishton se nape hain
chand ne kitni der laga di aane mein
-
Tags : Chaandand 1 more
merī to por por meñ ḳhushbū sī bas ga.ī
us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai
meri to por por mein KHushbu si bas gai
us par tera KHayal hai aur chand-raat hai
-
Tags : Chaandand 1 more
kyuuñ ishāra hai ufuq par aaj kis kī diid hai
alvidā.a māh-e-ramazāñ vo hilāl-e-īd hai...
kyun ishaara hai ufuq par aaj kis ki did hai
alwidaa mah-e-ramazan wo hilal-e-id hai
nikle haiñ ghar se dekhne ko log māh-e-īd
aur dekhte haiñ abrū-e-ḳhamdār kī taraf
nikle hain ghar se dekhne ko log mah-e-id
aur dekhte hain abru-e-KHamdar ki taraf
usī kī shakl mujhe chāñd meñ nazar aa.e
vo māh-ruḳh jo lab-e-bām bhī nahīñ aatā
usi ki shakl mujhe chand mein nazar aae
wo mah-ruKH jo lab-e-baam bhi nahin aata
-
Tag : Chaand
chāñd niklā hai ba-andāz-e-digar aaj kī shaam
bārish-e-nūr hai tā-hadd-e-nazar aaj kī shaam
chand nikla hai ba-andaz-e-digar aaj ki sham
barish-e-nur hai ta-hadd-e-nazar aaj ki sham
chheḌā hai ek naġhma-e-shīrīñ bhī kū-ba-kū
dil ne hilāl-e-īd kī tā.īd ke liye
chheDa hai ek naghma-e-shirin bhi ku-ba-ku
dil ne hilal-e-id ki taid ke liye
-
Tags : Chaandand 1 more