Ik mauj bahar-haal baha le gayi hum ko:Irfan Siddiqi
Irfan Siddiqui is one of the most prominent names in modern Urdu poetry. Here, a selection of his famous couplets is being presented to you.
raat ko jiit to paatā nahīñ lekin ye charāġh
kam se kam raat kā nuqsān bahut kartā hai
raat ko jit to pata nahin lekin ye charagh
kam se kam raat ka nuqsan bahut karta hai
-
Tags : Charaghand 2 more
hoshiyārī dil-e-nādān bahut kartā hai
rañj kam sahtā hai elaan bahut kartā hai
hoshiyari dil-e-nadan bahut karta hai
ranj kam sahta hai elan bahut karta hai
tum parindoñ se ziyāda to nahīñ ho āzād
shaam hone ko hai ab ghar kī taraf lauT chalo
tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad
sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo
sar agar sar hai to nezoñ se shikāyat kaisī
dil agar dil hai to dariyā se baḌā honā hai
sar agar sar hai to nezon se shikayat kaisi
dil agar dil hai to dariya se baDa hona hai
tum suno yā na suno haath baḌhāo na baḌhāo
Dūbte Dūbte ik baar pukāreñge tumheñ
tum suno ya na suno hath baDhao na baDhao
Dubte Dubte ek bar pukarenge tumhein
-
Tag : Farewell
sarhadeñ achchhī ki sarhad pe na ruknā achchhā
sochiye aadmī achchhā ki parinda achchhā
sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha
sochiye aadmi achchha ki parinda achchha
-
Tags : Partitionand 1 more
ret par thak ke girā huuñ to havā pūchhtī hai
aap is dasht meñ kyuuñ aa.e the vahshat ke baġhair
ret par thak ke gira hun to hawa puchhti hai
aap is dasht mein kyun aae the wahshat ke baghair
mere hone meñ kisī taur se shāmil ho jaao
tum masīhā nahīñ hote ho to qātil ho jaao
mere hone mein kisi taur se shamil ho jao
tum masiha nahin hote ho to qatil ho jao
-
Tag : Qatil
kahā thā tum ne ki laatā hai kaun ishq kī taab
so ham javāb tumhāre savāl hī ke to haiñ
kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab
so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain
ham sab ā.īna-dar-ā.īna-dar-ā.īna haiñ
kyā ḳhabar kaun kahāñ kis kī taraf dekhtā hai
hum sab aaina-dar-aina-dar-aina hain
kya KHabar kaun kahan kis ki taraf dekhta hai
us kī āñkheñ haiñ ki ik Dūbne vaalā insāñ
dūsre Dūbne vaale ko pukāre jaise
us ki aankhen hain ki ek Dubne wala insan
dusre Dubne wale ko pukare jaise
-
Tag : Eyes
aaj tak un kī ḳhudā.ī se hai inkār mujhe
maiñ to ik umr se kāfir huuñ sanam jānte haiñ
aaj tak un ki KHudai se hai inkar mujhe
main to ek umr se kafir hun sanam jaante hain
uḌe to phir na mileñge rafāqatoñ ke parind
shikāyatoñ se bharī Tahniyāñ na chhū lenā
uDe to phir na milenge rafaqaton ke parind
shikayaton se bhari Tahniyan na chhu lena
us se bichhḌe to tumheñ koī na pahchānegā
tum to parchhā.īñ ho paikar kī taraf lauT chalo
us se bichhDe to tumhein koi na pahchanega
tum to parchhain ho paikar ki taraf lauT chalo
ham bhī patthar tum bhī patthar sab patthar Takrāo
ham bhī TūTeñ tum bhī TuuTo sab TūTeñ āmīn
hum bhi patthar tum bhi patthar sab patthar Takrao
hum bhi TuTen tum bhi TuTo sab TuTen aamin
āḳhir-e-shab huī āġhāz kahānī apnī
ham ne paayā bhī to ik umr gañvā kar us ko
aaKHir-e-shab hui aaghaz kahani apni
hum ne paya bhi to ek umr ganwa kar us ko
ye ham ne bhī sunā hai ālam-e-asbāb hai duniyā
yahāñ phir bhī bahut kuchh be-sabab hotā hī rahtā hai
ye hum ne bhi suna hai aalam-e-asbab hai duniya
yahan phir bhi bahut kuchh be-sabab hota hi rahta hai
-
Tag : Duniya
vo mujh meñ bolne vaalā to chup hai barsoñ se
ye kaun hai jo tire rū-ba-rū pukārtā hai
wo mujh mein bolne wala to chup hai barson se
ye kaun hai jo tere ru-ba-ru pukarta hai
maiñ ḳhvāb dekh rahā huuñ ki vo pukārtā hai
aur apne jism se bāhar nikal rahā huuñ maiñ
main KHwab dekh raha hun ki wo pukarta hai
aur apne jism se bahar nikal raha hun main
-
Tag : Jism
kyā jazb-e-ishq mujh se ziyāda thā ġhair meñ
us kā habīb us se judā kyuuñ nahīñ huā
kya jazb-e-ishq mujh se ziyaada tha ghair mein
us ka habib us se juda kyun nahin hua
-
Tag : Ishq