Top 10 couplets of Anwar Dehlvi
Prominent later classical poet and disciple of Zauq & Ghalib who had written many oft quoted shers.
na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
-
Tags : Famous shayariand 2 more
kuchh ḳhabar hotī to maiñ apnī ḳhabar kyuuñ rakhtā
ye bhī ik be-ḳhabarī thī ki ḳhabar-dār rahā
kuchh KHabar hoti to main apni KHabar kyun rakhta
ye bhi ek be-KHabari thi ki KHabar-dar raha
miTTī ḳharāb hai tire kūche meñ varna ham
ab tak to jis zamīñ pe rahe āsmāñ rahe
miTTi KHarab hai tere kuche mein warna hum
ab tak to jis zamin pe rahe aasman rahe
vo jo gardan jhukā.e baiThe haiñ
hashr kyā kyā uThā.e baiThe haiñ
wo jo gardan jhukae baiThe hain
hashr kya kya uThae baiThe hain
hashr ko māntā huuñ be-dekhe
haa.e hañgāma us kī mahfil kā
hashr ko manta hun be-dekhe
hae hangama us ki mahfil ka
har shai ko intihā hai yaqīñ hai ki vasl ho
arsa bahut khiñchā hai mirī intizār kā
har shai ko intiha hai yaqin hai ki wasl ho
arsa bahut khincha hai meri intizar ka
kaisī hayā kahāñ kī vafā pās-e-ḳhalq kyā
haañ ye sahī ki aap ko aanā yahāñ na thā
kaisi haya kahan ki wafa pas-e-KHalq kya
han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha
allāh-re fart-e-shauq-e-asīrī kī shauq meñ
pahroñ uThā uThā ke salāsil ko dekhnā
allah-re fart-e-shauq-e-asiri ki shauq mein
pahron uTha uTha ke salasil ko dekhna
'anvar' ne badle jaan ke lī jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudā girāñ na thā
'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naz ye ki ye sauda giran na tha
nazar aa.e kyā mujh se faanī kī sūrat
ki pinhāñ huuñ dard-e-nihānī kī sūrat
nazar aae kya mujh se fani ki surat
ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat