Top 10 couplets of Muhammad Rafi Sauda
One of the greatest 18th century poets, contemporary of Mir Taqi Mir.
na kar 'saudā' tū shikva ham se dil kī be-qarārī kā
mohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ
na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka
mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
fikr-e-ma.āsh ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñ
is zindagī meñ ab koī kyā kyā kiyā kare
fikr-e-maash ishq-e-butan yaad-e-raftagan
is zindagi mein ab koi kya kya kiya kare
kaifiyyat-e-chashm us kī mujhe yaad hai 'saudā'
sāġhar ko mire haath se liijo ki chalā maiñ
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'
saghar ko mere hath se lijo ki chala main
-
Tag : Eyes
jis roz kisī aur pe bedād karoge
ye yaad rahe ham ko bahut yaad karoge
jis roz kisi aur pe bedad karoge
ye yaad rahe hum ko bahut yaad karoge
maiñ ne tum ko dil diyā aur tum ne mujhe rusvā kiyā
maiñ ne tum se kyā kiyā aur tum ne mujh se kyā kiyā
main ne tum ko dil diya aur tum ne mujhe ruswa kiya
main ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya
'saudā' ḳhudā ke vāste kar qissa muḳhtasar
apnī to niiñd uḌ ga.ī tere fasāne meñ
'sauda' KHuda ke waste kar qissa muKHtasar
apni to nind uD gai tere fasane mein
ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ
ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
-
Tags : Tributeand 1 more
'saudā' jo tirā haal hai itnā to nahīñ vo
kyā jāniye tū ne use kis aan meñ dekhā
'sauda' jo tera haal hai itna to nahin wo
kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha
gul pheñke hai auroñ kī taraf balki samar bhī
ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar bhī
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi
'saudā' kī jo bālīñ pe gayā shor-e-qayāmat
ḳhuddām-e-adab bole abhī aañkh lagī hai
'sauda' ki jo baalin pe gaya shor-e-qayamat
KHuddam-e-adab bole abhi aankh lagi hai