ustaadon ka ustaad hai ustaad hamara: Meer sahab ki tareef mein
Legendary Poet Meer Taqi Meer inspired poets for centuries and gave them a way to think like genuine poets. We're sharing some couplets in which different poets mentioned Meer as an Ustaad.
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more
āshiqī meñ 'mīr' jaise ḳhvāb mat dekhā karo
bāvle ho jāoge mahtāb mat dekhā karo
aashiqi mein 'mir' jaise KHwab mat dekha karo
bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo
-
Tags : Ishqand 3 more
shāgird haiñ ham 'mīr' se ustād ke 'rāsiḳh'
ustādoñ kā ustād hai ustād hamārā
shagird hain hum 'mir' se ustad ke 'rasiKH'
ustadon ka ustad hai ustad hamara
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more
ishq bin jiine ke ādāb nahīñ aate haiñ
'mīr' sāhab ne kahā hai ki miyāñ ishq karo
ishq bin jine ke aadab nahin aate hain
'mir' sahab ne kaha hai ki miyan ishq karo
'mīr' kā rañg baratnā nahīñ āsāñ ai 'dāġh'
apne dīvāñ se milā dekhiye dīvāñ un kā
'mir' ka rang baratna nahin aasan ai 'dagh'
apne diwan se mila dekhiye diwan un ka
-
Tag : Meer Taqi Meer
sher mere bhī haiñ pur-dard va-lekin 'hasrat'
'mīr' kā sheva-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'
'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun
'saudā' tū is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal hī kah
honā hai tujh ko 'mīr' se ustād kī taraf
'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf
guzre bahut ustād magar rañg-e-asar meñ
be-misl hai 'hasrat' suḳhan-e-'mīr' abhī tak
guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak
'hālī' suḳhan meñ 'sheftā' se mustafīd hai
'ġhālib' kā mo'taqid hai muqallid hai 'mīr' kā
'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai
'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more
ab ḳhudā maġhfirat kare us kī
'mīr' marhūm thā ajab koī
ab KHuda maghfirat kare us ki
'mir' marhum tha ajab koi
go ki tū 'mīr' se huā behtar
'mus.hafī' phir bhī 'mīr' 'mīr' hī hai
go ki tu 'mir' se hua behtar
'mushafi' phir bhi 'mir' 'mir' hi hai
-
Tag : Meer Taqi Meer
'dāġh' ke sher javānī meñ bhale lagte haiñ
'mīr' kī koī ġhazal gaao ki kuchh chain paḌe
'dagh' ke sher jawani mein bhale lagte hain
'mir' ki koi ghazal gao ki kuchh chain paDe
-
Tag : Meer Taqi Meer
shubh 'nāsiḳh' nahīñ kuchh 'mīr' kī ustādī meñ
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
shubh 'nasiKH' nahin kuchh 'mir' ki ustadi mein
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
-
Tag : Meer Taqi Meer
maiñ huuñ kyā chiiz jo us tarz pe jā.ūñ 'akbar'
'nāsiḳh' o 'zauq' bhī jab chal na sake 'mīr' ke saath
main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'
'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath
saḳht mushkil thā imtihān-e-ġhazal
'mīr' kī naql kar ke paas hue
saKHt mushkil tha imtihan-e-ghazal
'mir' ki naql kar ke pas hue
-
Tag : Meer Taqi Meer
jab bhī TuuTā mire ḳhvāboñ kā hasīñ tāj-mahal
maiñ ne ghabrā ke kahī 'mīr' ke lahje meñ ġhazal
jab bhi TuTa mere KHwabon ka hasin taj-mahal
main ne ghabra ke kahi 'mir' ke lahje mein ghazal
tumhārī yaad bhī chupke se aa ke baiTh ga.ī
ġhazal jo 'mīr' kī ik gungunā rahā thā maiñ
tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baiTh gai
ghazal jo 'mir' ki ek gunguna raha tha main
kal shaam chhat pe mīr-taqī-'mīr' kī ġhazal
maiñ gungunā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
kal sham chhat pe mir-taqi-'mir' ki ghazal
main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gae
suno maiñ 'mīr' kā dīvān samajhtā huuñ use
jo namāzī haiñ vo qur.ān samajhte hoñge
suno main 'mir' ka diwan samajhta hun use
jo namazi hain wo quran samajhte honge
-
Tag : Meer Taqi Meer