Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Very Sad Shayari

aaj to be-sabab udaas hai

ishq hotā to koī baat bhī thī

aaj to be-sabab udas hai ji

ishq hota to koi baat bhi thi

Nasir Kazmi

aaj bahut udaas huuñ

yuuñ koī ḳhaas ġham nahīñ

aaj bahut udas hun

yun koi KHas gham nahin

Firaq Gorakhpuri

dukh udāsī malāl ġham ke sivā

aur bhī hai koī makān meñ kyā

dukh udasi malal gham ke siwa

aur bhi hai koi makan mein kya

Inder Saraazi

kisī ne phir se lagā.ī sadā udāsī

palaT ke aane lagī hai fazā udāsī

kisi ne phir se lagai sada udasi ki

palaT ke aane lagi hai faza udasi ki

Shahida Majeed

hijr meñ bhī ham udaas utne na the

mil ke bichhḌe to hue jitne udaas

hijr mein bhi hum udas utne na the

mil ke bichhDe to hue jitne udas

Adil Farooqui

baras rahī hai udāsī tamām āñgan meñ

vo rat-jagoñ havelī baḌe azaab meñ hai

baras rahi hai udasi tamam aangan mein

wo rat-jagon ki haweli baDe azab mein hai

Farooq Engineer

ajiib baat hai maiñ jab bhī kuchh udaas huā

diyā sahārā harīfoñ bad-duāoñ ne

ajib baat hai main jab bhi kuchh udas hua

diya sahaara harifon ki bad-duaon ne

Salam Machhli shahri

bahut udaas haiñ dīvāreñ ūñche mahloñ

ye vo khañDar haiñ ki jin meñ amiir rahte haiñ

bahut udas hain diwaren unche mahlon ki

ye wo khanDar hain ki jin mein amir rahte hain

Khan Hasnain Aqib

maiñ ḳhānqāh-e-badan se udaas lauT aayā

yahāñ bhī chāhne vāloñ meñ ḳhaak baTtī hai

main KHanqah-e-badan se udas lauT aaya

yahan bhi chahne walon mein KHak baTti hai

Nomaan Shauque

is zamāne meñ na ho kyūñkar hamārā dil udaas

dekh kar ahvāl-e-ālam uḌte jaate haiñ havās

is zamane mein na ho kyunkar hamara dil udas

dekh kar ahwal-e-alam uDte jate hain hawas

Shaikh Zahuruddin Hatim

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now