Sher of Bismil Saeedi
ham ne kāñToñ ko bhī narmī se chhuā hai aksar
log bedard haiñ phūloñ ko masal dete haiñ
hum ne kanTon ko bhi narmi se chhua hai aksar
log bedard hain phulon ko masal dete hain
sar jis pe na jhuk jaa.e use dar nahīñ kahte
har dar pe jo jhuk jaa.e use sar nahīñ kahte
TRANSLATION
On which every head bows, cannot be called a door,
On every door that bows, cannot be a head for sure.
Sagar Akbarabadi
sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte
har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte
TRANSLATION
On which every head bows, cannot be called a door,
On every door that bows, cannot be a head for sure.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
Thokar kisī patthar se agar khaa.ī hai maiñ ne
manzil kā nishāñ bhī usī patthar se milā hai
Thokar kisi patthar se agar khai hai main ne
manzil ka nishan bhi usi patthar se mila hai
kiyā tabāh to dillī ne bhī bahut 'bismil'
magar ḳhudā kī qasam lucknow ne luuT liyā
kiya tabah to dilli ne bhi bahut 'bismil'
magar KHuda ki qasam lucknow ne luT liya
mere dil ko bhī paḌā rahne do
chiiz rakkhī huī kaam aatī hai
mere dil ko bhi paDa rahne do
chiz rakkhi hui kaam aati hai
idhar udhar mirī āñkheñ tujhe pukārtī haiñ
mirī nigāh nahīñ hai zabān hai goyā
idhar udhar meri aankhen tujhe pukarti hain
meri nigah nahin hai zaban hai goya
ḳhushbū ko phailne kā bahut shauq hai magar
mumkin nahīñ havāoñ se rishta kiye baġhair
tho fragrance is very fond, to spread around, increase
this is nigh impossible, till it befriends the breeze
KHushbu ko phailne ka bahut shauq hai magar
mumkin nahin hawaon se rishta kiye baghair
tho fragrance is very fond, to spread around, increase
this is nigh impossible, till it befriends the breeze
-
Tag : Hawa
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ka.abe meñ musalmān ko kah dete haiñ kāfir
but-ḳhāne meñ kāfir ko bhī kāfar nahīñ kahte
kabe mein musalman ko kah dete hain kafir
but-KHane mein kafir ko bhi kafar nahin kahte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum jab aate ho to jaane ke liye aate ho
ab jo aa kar tumheñ jaanā ho to aanā bhī nahīñ
tum jab aate ho to jaane ke liye aate ho
ab jo aa kar tumhein jaana ho to aana bhi nahin
nā-umīdī hai burī chiiz magar
ek taskīn sī ho jaatī hai
na-umidi hai buri chiz magar
ek taskin si ho jati hai
sukūñ nasīb huā ho kabhī jo tere baġhair
ḳhudā kare ki mujhe tū kabhī nasīb na ho
sukun nasib hua ho kabhi jo tere baghair
KHuda kare ki mujhe tu kabhi nasib na ho
husn bhī kambaḳht kab ḳhālī hai soz-e-ishq se
sham.a bhī to raat bhar jaltī hai parvāne ke saath
when is poor beauty saved from the
along with the moths all night the flame did surely burn
husn bhi kambaKHt kab KHali hai soz-e-ishq se
shama bhi to raat bhar jalti hai parwane ke sath
when is poor beauty saved from the
along with the moths all night the flame did surely burn
-
Tag : Husn
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ro rahā huuñ aaj maiñ saare jahāñ ke sāmne
ro.egā kal dekhnā saarā jahāñ mere liye
ro raha hun aaj main sare jahan ke samne
roega kal dekhna sara jahan mere liye
kisī ke sitam is qadar yaad aa.e
zabāñ thak ga.ī mehrbāñ kahte kahte
kisi ke sitam is qadar yaad aae
zaban thak gai mehrban kahte kahte
dohrā.ī jā sakegī na ab dāstān-e-ishq
kuchh vo kahīñ se bhuul ga.e haiñ kahīñ se ham
dohrai ja sakegi na ab dastan-e-ishq
kuchh wo kahin se bhul gae hain kahin se hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zamāna-sāziyoñ se maiñ hamesha duur rahtā haiñ
mujhe har shaḳhs ke dil meñ utar jaanā nahīñ aatā
zamana-saziyon se main hamesha dur rahta hain
mujhe har shaKHs ke dil mein utar jaana nahin aata
ishq bhī hai kis qadar bar-ḳhud-ġhalat
un kī bazm-e-nāz aur ḳhuddāriyāñ
ishq bhi hai kis qadar bar-KHud-ghalat
un ki bazm-e-naz aur KHuddariyan
-
Tag : Ishq
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
do din meñ ho gayā hai ye aalam ki jis tarah
tere hī iḳhtiyār meñ haiñ umr bhar se ham
do din mein ho gaya hai ye aalam ki jis tarah
tere hi iKHtiyar mein hain umr bhar se hum
mohabbat meñ ḳhudā jaane huiiñ rusvā.iyāñ kis se
maiñ un kā naam letā huuñ vo merā naam lete haiñ
mohabbat mein KHuda jaane huin ruswaiyan kis se
main un ka nam leta hun wo mera nam lete hain
gul to gul ḳhaar pe dekhī jo kabhī garm shu'ā'
chhā ga.e baaġh pe ham abr-e-bahārāñ ho kar
gul to gul KHar pe dekhi jo kabhi garm shu'a'
chha gae bagh pe hum abr-e-bahaaran ho kar