Sher of Nasir Shahzad
phir yuuñ huā ki mujh se vo yūñhī bichhaḌ gayā
phir yuuñ huā ki ziist ke din yūñhī kaT ga.e
phir yun hua ki mujh se wo yunhi bichhaD gaya
phir yun hua ki zist ke din yunhi kaT gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aḳhroT khā.eñ tāpeñ añgeThī pe aag aa
raste tamām gaañv ke kohre se aT ga.e
aKHroT khaen tapen angeThi pe aag aa
raste tamam ganw ke kohre se aT gae
-
Tag : Gaon
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nayyā bāñdho nadī kināre sakhī
chāñd bairāg raat tyaag lage
nayya bandho nadi kinare sakhi
chand bairag raat tyag lage
jab ki tujh bin nahīñ maujūd koī
apne hone kā yaqīñ kaise karūñ
jab ki tujh bin nahin maujud koi
apne hone ka yaqin kaise karun
tujh se bichhḌe gaañv chhūTā shahr meñ aa kar base
taj diye sab sañgī sāthī tyaag Daalā des bhī
tujh se bichhDe ganw chhuTa shahr mein aa kar base
taj diye sab sangi sathi tyag Dala des bhi
tujh se milī nigāh to dekhā ki darmiyāñ
chāñdī ke ābshār the sone kī raah thī
tujh se mili nigah to dekha ki darmiyan
chandi ke aabshaar the sone ki rah thi
phir mujhe mil nadī kināre kahīñ
phir baḌhā maan aa ke rāhoñ kā
phir mujhe mil nadi kinare kahin
phir baDha man aa ke rahon ka
ham vo log haiñ jo chāhat meñ
jī na sakeñ to mar rahte haiñ
hum wo log hain jo chahat mein
ji na saken to mar rahte hain
kuchh gurezāñ bhī rahe ham ḳhud se
kuchh kahānī bhī alamnāk huī
kuchh gurezan bhi rahe hum KHud se
kuchh kahani bhi alamnak hui
yaad aa.e tū mujh ko bahut jab shab kaTe jab pau phaTe
jab vādiyoñ meñ duur tak kohrā dikhe be-ant sā
yaad aae tu mujh ko bahut jab shab kaTe jab pau phaTe
jab wadiyon mein dur tak kohra dikhe be-ant sa
jinheñ tire naam kī chaah hai ye zamīn un kī gavāh hai
vahīñ karbalā kā vo dasht hai vahīñ qasr-e-kūfa-o-shām hai
jinhen tere nam ki chah hai ye zamin un ki gawah hai
wahin karbala ka wo dasht hai wahin qasr-e-kufa-o-sham hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujhe pachhāḌ na deñ raushnī meñ tere rafīq
dayā bujhe na bujhe to bhī phūñk maar to le
tujhe pachhaD na den raushni mein tere rafiq
daya bujhe na bujhe to bhi phunk mar to le
ek kaaTā raam ne siitā ke saath
dūsrā ban boss mere naam par
ek kaTa ram ne sita ke sath
dusra ban boss mere nam par
nain nachant haiñ dekh ke tujh ko
dil hai azal se hakkā-bakkā
nain nachant hain dekh ke tujh ko
dil hai azal se hakka-bakka
qaa.em hai aabrū to ġhanīmat yahī samajh
maile se haiñ jo kapḌe phaTā sā jo boot hai
qaem hai aabru to ghanimat yahi samajh
maile se hain jo kapDe phaTa sa jo boot hai
denā mirā sandesh sakhī phir
pahle chhūnā us ke paañv
dena mera sandesh sakhi phir
pahle chhuna us ke panw
saañs meñ sājnā havā kī tarah
saañs kā silsila havā se hai
sans mein sajna hawa ki tarah
sans ka silsila hawa se hai
shāh-balūt ke uupar dekh
chāñd dharā hai thālī par
shah-balut ke upar dekh
chand dhara hai thaali par
umroñ ke bujhte māmūre meñ
maiñ ne har lamha tujh ko sochā
umron ke bujhte mamure mein
main ne har lamha tujh ko socha
paaTī haiñ ham ne biphrī chanābeñ tire liye
ham le ga.e haiñ tujh ko svayamvar se jiit ke
paTi hain hum ne biphri chanaben tere liye
hum le gae hain tujh ko swayamwar se jit ke
to sharāfatoñ kā maqām hai to sadāqatoñ kā davām hai
jahāñ farq-e-shāh-o-gadā nahīñ tire diin kā vo nizām hai
to sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka dawam hai
jahan farq-e-shah-o-gada nahin tere din ka wo nizam hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khile dhaan khilkhilā kar paḌe naddiyoñ meñ naake
ghanī ḳhushbuoñ se mahke mire des ke ilāqe
khile dhan khilkhila kar paDe naddiyon mein nake
ghani KHushbuon se mahke mere des ke ilaqe
pustakoñ meñ parānoñ meñ arzoñ meñ āsmānoñ meñ
ek naam kī bhagTī ek qaul kā kalima
pustakon mein paranon mein arzon mein aasmanon mein
ek nam ki bhagTi ek qaul ka kalima
dariyā pe Tīkrī se pare ḳhānqāh thī
tab tere mere pyaar kī duniyā gavāh thī
dariya pe Tikri se pare KHanqah thi
tab tere mere pyar ki duniya gawah thi
majma.a nahīñ mujalla hai ash.ār kī jagah
bhar aur koī svāñg jo honā hī hoot hai
majma nahin mujalla hai ashaar ki jagah
bhar aur koi swang jo hona hi hoot hai
tale teġh ke vo ibādateñ tirī shaan kī vo shahādateñ
vo hikāyateñ vo rivāyateñ tire saare ghar pe salām hai
tale tegh ke wo ibaadaten teri shan ki wo shahadaten
wo hikayaten wo riwayaten tere sare ghar pe salam hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhā qad-e-gunāh pe jab is ko multafit
baḌh kar had-e-nigāh lagī us ko Dhāñpne
dekha qad-e-gunah pe jab is ko multafit
baDh kar had-e-nigah lagi us ko Dhanpne
paañv ke nīche saraktī huī riit
sar meñ masnad kī havā baaqī hai
panw ke niche sarakti hui rit
sar mein masnad ki hawa baqi hai
hijratoñ meñ huzūriyoñ ke jatan
paañv ko dūriyoñ ne gherā hai
hijraton mein huzuriyon ke jatan
panw ko duriyon ne ghera hai
ik ḳhitta-e-ḳhūñ meñ kahīñ dariyā ke kināre
dīvār-e-zamāna se girā dhyān phisal kar
ek KHitta-e-KHun mein kahin dariya ke kinare
diwar-e-zamana se gira dhyan phisal kar
chaukhaTā dil kā yahāñ hai hū-ba-hū tujh sā koī
hoñT bhī āñkheñ bhī chhab Dhab bhī tujhī sā face bhī
chaukhaTa dil ka yahan hai hu-ba-hu tujh sa koi
honT bhi aankhen bhi chhab Dhab bhi tujhi sa face bhi
sañgat diloñ kī jīvanoñ marnoñ kā irtibāt
phir Dar paḌā thā kyā tujhe gird-o-navāh kā
sangat dilon ki jiwanon marnon ka irtibaat
phir Dar paDa tha kya tujhe gird-o-nawah ka