Ahmad Hamdani
Ghazal 16
Sher-o-Shayari 7
tū mayassar thā to dil meñ the hazāroñ armāñ
tū nahīñ hai to har ik samt ajab rañg-e-malāl
tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman
tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal
-
Share this
- See Ghazal
vo merī raah meñ kāñTe bichhā.e maiñ lekin
usī ko pyaar karūñ us pe e'tibār karūñ
wo meri rah mein kanTe bichhae main lekin
usi ko pyar karun us pe e'tibar karun
-
Share this
- See Ghazal
kyuuñ hamāre saañs bhī hote haiñ logoñ par girāñ
ham bhī to ik umr le kar is jahāñ meñ aa.e the
kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran
hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the
-
Share this
- See Ghazal
ajiib vahshateñ hisse meñ apne aa.ī haiñ
ki tere ghar bhī pahuñch kar sakūñ na paa.eñ ham
ajib wahshaten hisse mein apne aai hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum
-
Share this
- See Ghazal
na jaane aaj ye kis kā ḳhayāl aaya hai
ḳhushī kā rang liye har malāl aaya hai
TRANSLATION
Whose memory knocks today, I know not the plight.
For every sorrow is visiting me in the garb of delight.
Sagar Akbarabadi
na jaane aaj ye kis ka KHayal aaya hai
KHushi ka rang liye har malal aaya hai
TRANSLATION
Whose memory knocks today, I know not the plight.
For every sorrow is visiting me in the garb of delight.
Sagar Akbarabadi