Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kashif Husain Ghair's Photo'

Kashif Husain Ghair

1979 | Karachi, Pakistan

One of the most prominent new generation Pakistani poets

One of the most prominent new generation Pakistani poets

Sher of Kashif Husain Ghair

3K
Favorite

SORT BY

haal pūchhā na kare haath milāyā na kare

maiñ isī dhuup meñ ḳhush huuñ koī saaya na kare

haal puchha na kare hath milaya na kare

main isi dhup mein KHush hun koi saya na kare

hamārī zindagī par maut bhī hairān hai 'ġhā.er'

na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai

hamari zindagi par maut bhi hairan hai 'ghaer'

na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai

in sitāroñ meñ kahīñ tum bhī ho

in nazāroñ meñ kahīñ maiñ bhī huuñ

in sitaron mein kahin tum bhi ho

in nazaron mein kahin main bhi hun

kyā chāhtī hai ham se hamārī ye zindagī

kyā qarz hai jo ham se adā ho nahīñ rahā

kya chahti hai hum se hamari ye zindagi

kya qarz hai jo hum se ada ho nahin raha

dhuup saa.e tarah phail ga.ī

in daraḳhtoñ duā lene se

dhup sae ki tarah phail gai

in daraKHton ki dua lene se

kal raat jagātī rahī ik ḳhvāb duurī

aur niiñd bichhātī rahī bistar mire aage

kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri

aur nind bichhati rahi bistar mere aage

maut kyā kaam jab is shahr meñ

zindagī jaisī balā maujūd hai

maut ka kya kaam jab is shahr mein

zindagi jaisi bala maujud hai

zamīñ ābād hotī rahī hai

kahāñ jā.egī tanhā.ī hamārī

zamin aabaad hoti ja rahi hai

kahan jaegi tanhai hamari

niiñd uḌne lagī hai āñkhoñ se

dhuul jamne lagī hai bistar par

nind uDne lagi hai aankhon se

dhul jamne lagi hai bistar par

shor jitnā hai kā.enāt meñ shor

mere andar ḳhāmushī se huā

shor jitna hai kaenat mein shor

mere andar ki KHamushi se hua

zindagī dhuup meñ aane se khulī

saaya dīvār uThāne se khulā

zindagi dhup mein aane se khuli

saya diwar uThane se khula

ye havā yuuñ ḳhaak chhāntī hai

koī chiiz kho ga.ī hai yahāñ

ye hawa yun hi KHak chhanti hai

ya koi chiz kho gai hai yahan

na ham vahshat meñ apne ghar se nikle

na sahrā apnī vīrānī se niklā

na hum wahshat mein apne ghar se nikle

na sahra apni virani se nikla

hamārī zindagī par maut bhī hairān hai ġhā.er

na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai

hamari zindagi par maut bhi hairan hai ghaer

na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai

mujh se rastoñ bichhaḌnā nahīñ dekhā jaatā

mujh se milne vo kisī moḌ pe aayā na kare

mujh se raston ka bichhaDna nahin dekha jata

mujh se milne wo kisi moD pe aaya na kare

nazar milī to nazāroñ meñ baañT maiñ ne

ye raushnī bhī sitāroñ meñ baañT maiñ ne

nazar mili to nazaron mein banT di main ne

ye raushni bhi sitaron mein banT di main ne

ik din dukh shiddat kam paḌ jaatī hai

kaisī bhī ho vahshat kam paḌ jaatī hai

ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai

kaisi bhi ho wahshat kam paD jati hai

hamāre dil tarah shahr ke ye raste bhī

hazār bhed chhupā.e hue se lagte haiñ

hamare dil ki tarah shahr ke ye raste bhi

hazar bhed chhupae hue se lagte hain

bane haiñ kaam sab uljhan se mere

yahī atvār haiñ bachpan se mere

bane hain kaam sab uljhan se mere

yahi atwar hain bachpan se mere

terā ḳhayāl terī tamannā tak aa gayā

maiñ dil ko DhūñDhtā huā duniyā tak aa gayā

tera KHayal teri tamanna tak aa gaya

main dil ko DhunDhta hua duniya tak aa gaya

peḌ ho ki aadmī 'ġhā.er'

sar-buland apnī ājizī se huā

peD ho ya ki aadmi 'ghaer'

sar-buland apni aajizi se hua

kyā kaheñ aur dil ke baare meñ

ham mulāzim haiñ is idāre meñ

TRANSLATION

About the heart what else can be my narration,

For I am only an employee in this organization.

Sagar Akbarabadi

kya kahen aur dil ke bare mein

hum mulazim hain is idare mein

TRANSLATION

About the heart what else can be my narration,

For I am only an employee in this organization.

Sagar Akbarabadi

sahrā meñ aa nikle to ma.alūm huā

tanhā.ī ko vus.at kam paḌ jaatī hai

sahra mein aa nikle to malum hua

tanhai ko wusat kam paD jati hai

zindagī meñ kasak zarūrī thī

ye ḳhalā pur tirī kamī se huā

zindagi mein kasak zaruri thi

ye KHala pur teri kami se hua

mere andar shor hai mujh meñ

varna bāhar to ḳhāmushī hai yahāñ

mere andar ka shor hai mujh mein

warna bahar to KHamushi hai yahan

zamīñ hamvār ho kar rah ga.ī hai

uḌī hai dhuul vo dāman se mere

zamin hamwar ho kar rah gai hai

uDi hai dhul wo daman se mere

kuchh der baiTh jā.iye dīvār ke qarīb

kyā kah rahā hai sāya-e-dīvār jāniye

kuchh der baiTh jaiye diwar ke qarib

kya kah raha hai saya-e-diwar jaaniye

kuchh aisī bhī dil bāteñ hotī haiñ

jin bātoñ ko ḳhalvat kam paḌ jaatī hai

kuchh aisi bhi dil ki baaten hoti hain

jin baaton ko KHalwat kam paD jati hai

mujh se mansūb hai ġhubār mirā

qāfile meñ na kar shumār mirā

mujh se mansub hai ghubar mera

qafile mein na kar shumar mera

Recitation

Speak Now