Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal 53
Nazm 3
Sher-o-Shayari 18
har lamha māñgte haiñ duā dīd-e-yār kī
yād-e-butāñ bhī dil meñ hai yād-e-ḳhudā ke saath
har lamha mangte hain dua did-e-yar ki
yaad-e-butan bhi dil mein hai yaad-e-KHuda ke sath
-
Share this
- See Ghazal
in shoḳh hasīnoñ kī nirālī hai adā bhī
but ho ke samajhte haiñ ki jaise haiñ ḳhudā bhī
in shoKH hasinon ki nirali hai ada bhi
but ho ke samajhte hain ki jaise hain KHuda bhi
-
Share this
- See Ghazal
saaqī mai sāġhar paimāna mere bas kī baat nahīñ
sirf inhī se dil bahlānā mere bas kī baat nahīñ
saqi mai saghar paimana mere bas ki baat nahin
sirf inhi se dil bahlana mere bas ki baat nahin
-
Share this
- See Ghazal
Qisse 12
BOOKS 19
Image Shayari 2
mujhe bhuul jaane vaale mire dil kii kuchh KHabar bhii mirii aa.nkh par na jaanaa ye to KHushk bhii hai tar bhii ye qadam ruke ruke se ye jhukaa jhukaa saa sar bhii yahii.n un kaa naqsh-e-paa hai yahii un kii rahguzar bhii falak-aashnaa sahii ham magar ehtiyaat laazim ki qafas me.n le na jaa.e ye mazaaq-e-baal-o-par bhii ba.De shauq se hu.e the yuu.n haram ko ham ravaana ye KHabar na thii ki rah me.n hai tumhaaraa sa.ng-e-dar bhii ho daraaz umr yaarab mire shaiKH-o-barahman kii kahii.n KHatm ho na jaa.e ye jahaan-e-KHair-o-shar bhii na badal rahii hai.n gha.Diyaa.n na sitaare Duubte hai.n kahii.n thak ke so ga.ii hai shab-e-hijr kii sahar bhii