Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shakeel Azmi's Photo'

Shakeel Azmi

1971 | Mumbai, India

Poet and film lyricist.

Poet and film lyricist.

Sher of Shakeel Azmi

12.1K
Favorite

SORT BY

haar ho jaatī hai jab maan liyā jaatā hai

jiit tab hotī hai jab Thaan liyā jaatā hai

haar ho jati hai jab man liya jata hai

jit tab hoti hai jab Than liya jata hai

apnī manzil pe pahuñchnā bhī khaḌe rahnā bhī

kitnā mushkil hai baḌe ho ke baḌe rahnā bhī

apni manzil pe pahunchna bhi khaDe rahna bhi

kitna mushkil hai baDe ho ke baDe rahna bhi

maiñ so rahā huuñ tire ḳhvāb dekhne ke liye

ye aarzū hai ki āñkhoñ meñ raat rah jaa.e

main so raha hun tere KHwab dekhne ke liye

ye aarzu hai ki aankhon mein raat rah jae

ḳhud ko itnā bhī mat bachāyā kar

bārisheñ hoñ to bhiig jaayā kar

KHud ko itna bhi mat bachaya kar

barishen hon to bhig jaya kar

jaane kaisā rishta hai rahguzar qadmoñ se

thak ke baiTh jā.ūñ to rāsta bulātā hai

jaane kaisa rishta hai rahguzar ka qadmon se

thak ke baiTh jaun to rasta bulata hai

baat se baat gahrā.ī chalī jaatī hai

jhuuT aa jaa.e to sachchā.ī chalī jaatī hai

baat se baat ki gahrai chali jati hai

jhuT aa jae to sachchai chali jati hai

bhuuk meñ ishq tahzīb bhī mar jaatī hai

chāñd ākāsh pe thālī tarah lagtā hai

bhuk mein ishq ki tahzib bhi mar jati hai

chand aakash pe thaali ki tarah lagta hai

is baar us āñkhoñ meñ itne savāl the

maiñ bhī savāl ban ke savāloñ meñ rah gayā

is bar us ki aankhon mein itne sawal the

main bhi sawal ban ke sawalon mein rah gaya

bas ik pukār pe darvāza khol dete haiñ

zarā sabr bhī in āñsuoñ se hotā nahīñ

bas ek pukar pe darwaza khol dete hain

zara sa sabr bhi in aansuon se hota nahin

har ghaḌī chashm-e-ḳharīdār meñ rahne ke liye

kuchh hunar chāhiye bāzār meñ rahne ke liye

har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye

kuchh hunar chahiye bazar mein rahne ke liye

mujh ko bikhrāyā gayā aur sameTā bhī gayā

jaane ab kyā mirī miTTī se ḳhudā chāhtā hai

mujh ko bikhraya gaya aur sameTa bhi gaya

jaane ab kya meri miTTi se KHuda chahta hai

jab talak us ne ham se bāteñ kiiñ

jaise phūloñ ke darmiyān the ham

jab talak us ne hum se baaten kin

jaise phulon ke darmiyan the hum

tumhārī maut ne maarā hai jīte-jī ham ko

hamārī jaan bhī goyā tumhārī jaan meñ thī

tumhaari maut ne mara hai jite-ji hum ko

hamari jaan bhi goya tumhaari jaan mein thi

kuchh dinoñ ke liye manzar se agar haT jaao

zindagī bhar shanāsā.ī chalī jaatī hai

kuchh dinon ke liye manzar se agar haT jao

zindagi bhar ki shanasai chali jati hai

bichhaḌ ke bhī vo mire saath rahā har dam

safar ke ba.ad bhī maiñ rail meñ savār rahā

bichhaD ke bhi wo mere sath hi raha har dam

safar ke baad bhi main rail mein sawar raha

aaj āñkhoñ meñ koī raat ga.e aa.egā

aaj raat ye darvāza khulā rahne de

aaj aankhon mein koi raat gae aaega

aaj ki raat ye darwaza khula rahne de

mere hoñToñ pe ḳhāmushī hai bahut

in gulāboñ pe titliyāñ rakh de

mere honTon pe KHamushi hai bahut

in gulabon pe titliyan rakh de

tumhāre dard se le kar hamāre aañsū tak

baḌī tavīl kahānī hai aag paanī

tumhaare dard se le kar hamare aansu tak

baDi tawil kahani hai aag pani ki

zamīn le ke vo aa.e to ghar banāyā jaa.e

khaḌe haiñ der se ham log iiñT gaare liye

zamin le ke wo aae to ghar banaya jae

khaDe hain der se hum log inT gare liye

phir yuuñ huā thakan nasha aur baḌh gayā

āñkhoñ meñ Dūbtā huā jaada lagā hameñ

phir yun hua thakan ka nasha aur baDh gaya

aankhon mein Dubta hua jada laga hamein

hādse shahar dastūr bane jaate haiñ

ab yahāñ sāya-e-dīvār na DhūñDheñ koī

hadse shahar ka dastur bane jate hain

ab yahan saya-e-diwar na DhunDhen koi

ghar ke dīvār-o-dar pe shaam se

nazm likhtā huā hai sannāTā

ghar ke diwar-o-dar pe sham hi se

nazm likhta hua hai sannaTa

isī ḳhatā pe bujhā.e ga.e charāġh mire

maiñ jāntā thā bahut kuchh havā ke baare meñ

isi KHata pe bujhae gae charagh mere

main jaanta tha bahut kuchh hawa ke bare mein

tere rone ḳhabar rakhtī haiñ āñkheñ merī

terā aañsū mire rūmāl meñ aa jaatā hai

tere rone ki KHabar rakhti hain aankhen meri

tera aansu mere rumal mein aa jata hai

Recitation

Speak Now