Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Wali Aasi's Photo'

Wali Aasi

1939 - 2002 | Lucknow, India

Sher of Wali Aasi

5.9K
Favorite

SORT BY

unheñ bhī jiine ke kuchh tajrabe hue hoñge

jo kah rahe haiñ ki mar jaanā chāhte haiñ ham

unhen bhi jine ke kuchh tajrabe hue honge

jo kah rahe hain ki mar jaana chahte hain hum

cigareteñ chaa.e dhuāñ raat ga.e tak bahseñ

aur koī phuul āñchal kahīñ nam hotā hai

cigareten chae dhuan raat gae tak bahsen

aur koi phul sa aanchal kahin nam hota hai

ishq bin jiine ke ādāb nahīñ aate haiñ

'mīr' sāhab ne kahā hai ki miyāñ ishq karo

ishq bin jine ke aadab nahin aate hain

'mir' sahab ne kaha hai ki miyan ishq karo

ham ḳhuun qisteñ to ka.ī de chuke lekin

ai ḳhāk-e-vatan qarz adā kyuuñ nahīñ hotā

hum KHun ki qisten to kai de chuke lekin

ai KHak-e-watan qarz ada kyun nahin hota

aaj tak jo bhī huā us ko bhulā denā hai

aaj se tai hai ki dushman ko duā denā hai

aaj tak jo bhi hua us ko bhula dena hai

aaj se tai hai ki dushman ko dua dena hai

kabhī bhūle se bhī ab yaad bhī aatī nahīñ jin

vahī qisse zamāne ko sunānā chāhte haiñ ham

kabhi bhule se bhi ab yaad bhi aati nahin jin ki

wahi qisse zamane ko sunana chahte hain hum

zamāna aur abhī Thokareñ lagā.e hameñ

abhī kuchh aur sañvar jaanā chāhte haiñ ham

zamana aur abhi Thokaren lagae hamein

abhi kuchh aur sanwar jaana chahte hain hum

vahāñ hamārā koī muntazir nahīñ phir bhī

hameñ na rok ki ghar jaanā chāhte haiñ ham

wahan hamara koi muntazir nahin phir bhi

hamein na rok ki ghar jaana chahte hain hum

ham haar ga.e tum jiit ga.e ham ne khoyā tum ne paayā

in chhoTī chhoTī bātoñ ham koī ḳhayāl nahīñ karte

hum haar gae tum jit gae hum ne khoya tum ne paya

in chhoTi chhoTi baaton ka hum koi KHayal nahin karte

hameñ anjām bhī ma.alūm hai lekin na jaane kyuuñ

charāġhoñ ko havāoñ se bachānā chāhte haiñ ham

hamein anjam bhi malum hai lekin na jaane kyun

charaghon ko hawaon se bachana chahte hain hum

maiñ jis javāb na de pā.ūñ

aisā bhī koī savāl karnā

main jis ka jawab na de paun

aisa bhi koi sawal karna

hameñ tere sivā is duniyā meñ kisī aur se kyā lenā-denā

ham sab ko javāb nahīñ dete ham sab se savāl nahīñ karte

hamein tere siwa is duniya mein kisi aur se kya lena-dena

hum sab ko jawab nahin dete hum sab se sawal nahin karte

ishq raah meñ yuuñ had se guzar mat jaanā

hoñ ghaḌe kachche to dariyā meñ utar mat jaanā

ishq ki rah mein yun had se guzar mat jaana

hon ghaDe kachche to dariya mein utar mat jaana

is tarah roz ham ik ḳhat use likh dete haiñ

ki na kāġhaz na siyāhī na qalam hotā hai

is tarah roz hum ek KHat use likh dete hain

ki na kaghaz na siyahi na qalam hota hai

musallā rakhte haiñ sahbā-o-jām rakhte haiñ

faqīr sab ke liye intizām rakhte haiñ

musalla rakhte hain sahba-o-jam rakhte hain

faqir sab ke liye intizam rakhte hain

dosto DhūñD ke ham koī pyāsā laao

ham to aañsū bhī jo piite haiñ to paanī tarah

dosto DhunD ke hum sa koi pyasa lao

hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah

hamāre shahr meñ ab har taraf vahshat barastī hai

so ab jañgal meñ apnā ghar banānā chāhte haiñ ham

hamare shahr mein ab har taraf wahshat barasti hai

so ab jangal mein apna ghar banana chahte hain hum

maiñ akasr āsmāñ ke chāñd taare toḌ laatā thā

aur ik nannhī guḌiyā ke liye zevar banātā thā

main akasr aasman ke chand tare toD lata tha

aur ek nannhi si guDiya ke liye zewar banata tha

dariyā dikhā.ī detā hai har ek reg-zār

shāyad ki in dinoñ mujhe shiddat pyaas hai

dariya dikhai deta hai har ek reg-zar

shayad ki in dinon mujhe shiddat ki pyas hai

sameT bikhre hue kāġhzāt ko apne

koī sadā tujhe vāpas bulāne vaalī hai

sameT bikhre hue kaghzat ko apne

koi sada tujhe wapas bulane wali hai

sab bichhḌe sāthī mil jaa.eñ murjhā.eñ chehre khil jaa.eñ

sab chaak diloñ ke sil jaa.eñ koī aisā kaam karo 'vālī'

sab bichhDe sathi mil jaen murjhaen chehre khil jaen

sab chaak dilon ke sil jaen koi aisa kaam karo 'wali'

ġham ke rishtoñ ko kabhī toḌ na denā 'vālī'

ġham ḳhayāl-e-dil-e-nā-shād bahut kartā hai

gham ke rishton ko kabhi toD na dena 'wali'

gham KHayal-e-dil-e-na-shad bahut karta hai

mauj-e-havā āb-e-ravāñ aur ye zamīn o āsmāñ

ik roz sab jā.eñge thak allāh bas baaqī havas

mauj-e-hawa aab-e-rawan aur ye zamin o aasman

ek roz sab jaenge thak allah bas baqi hawas

Recitation

Speak Now