Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar lakhnvi's Photo'

Akhtar lakhnvi

1934 - 1995 | Karachi, Pakistan

Poet and journalist, long associated with radio Pakistan; also wrote dialogues and lyrics for films

Poet and journalist, long associated with radio Pakistan; also wrote dialogues and lyrics for films

Sher of Akhtar lakhnvi

855
Favorite

SORT BY

jazbe kaḌī dhuup ho to kyā nahīñ mumkin

ye kis ne kahā sañg pighaltā nahīñ hai

jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin

ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai

suune kitne baam hue kitne āñgan be-nūr hue

chāñd se chehre yaad aate haiñ chāñd nikalte vaqt bahut

sune kitne baam hue kitne aangan be-nur hue

chand se chehre yaad aate hain chand nikalte waqt bahut

hameñ ḳhudā pe bharosa hai nā-ḳhudā pe nahīñ

ḳhudā jo detā hai vo nā-ḳhudā nahīñ detā

hamein KHuda pe bharosa hai na-KHuda pe nahin

KHuda jo deta hai wo na-KHuda nahin deta

hasad rañg pasandīda rañg hai sab

yahāñ kisī ko koī ab duā nahīñ detā

hasad ka rang pasandida rang hai sab ka

yahan kisi ko koi ab dua nahin deta

mausam-e-gul tire sadqe tirī aamad ke nisār

dekh mujh se mirā saaya bhī judā hai ab ke

mausam-e-gul tere sadqe teri aamad ke nisar

dekh mujh se mera saya bhi juda hai ab ke

ik tere kūche par mauqūf nahīñ hai kuchh

har gaam haiñ ta.azīreñ ham log jahāñ bhī haiñ

ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh

har gam hain taziren hum log jahan bhi hain

kitne mahbūb gharoñ se ga.e kis ko ma.alūm

vāpas aa.e haiñ jo apnoñ meñ ḳhabar sūrat

kitne mahbub gharon se gae kis ko malum

wapas aae hain jo apnon mein KHabar ki surat

isī hasrat meñ kaTī rāh-e-hayāt

koī do-chār qadam saath chale

isi hasrat mein kaTi rah-e-hayat

koi do-chaar qadam sath chale

dekho us ne qadam qadam par saath diyā begāne

'aḳhtar' jis ne ahd kiyā thā tum se saath nibhāne

dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka

'aKHtar' jis ne ahd kiya tha tum se sath nibhane ka

ḳhvābīda apne chāhne vāloñ ko dekh kar

mumkin hai lauT jaa.e sahar jāgte raho

KHwabida apne chahne walon ko dekh kar

mumkin hai lauT jae sahar jagte raho

mai-e-kohna na sahī ḳhūn-e-tamannā sahī

ek paimāna mire sāmne laayā to gayā

mai-e-kohna na sahi KHun-e-tamanna hi sahi

ek paimana mere samne laya to gaya

Recitation

Speak Now