Hazin Ludhianvi
Ghazal 18
Sher-o-Shayari 6
aao mil baiTh kar hañseñ boleñ
nahīñ ma.alūm kab judā ho jaa.eñ
aao mil baiTh kar hansen bolen
nahin malum kab juda ho jaen
-
Share this
- See Ghazal
jo pā liyā tujhe maiñ ḳhud ko DhūñDne niklā
tumhāre qurb ne bhī zaḳhm-e-nā-rasā.ī diyā
jo pa liya tujhe main KHud ko DhunDne nikla
tumhaare qurb ne bhi zaKHm-e-na-rasai diya
-
Share this
- See Ghazal
nazar na aa.ī kabhī phir vo gaañv kī gorī
agarche mil ga.e dehāt aa ke shahroñ se
nazar na aai kabhi phir wo ganw ki gori
agarche mil gae dehat aa ke shahron se
-
Share this
- See Ghazal
tulū hogā abhī koī āftāb zarūr
dhuāñ uThā hai sar-e-shām phir charāġhoñ se
tulu hoga abhi koi aaftab zarur
dhuan uTha hai sar-e-sham phir charaghon se
-
Share this
- See Ghazal
utar ke nīche kabhī mere saath bhī to chalo
buland khiḌkiyoñ se kab talak pukāroge
utar ke niche kabhi mere sath bhi to chalo
buland khiDkiyon se kab talak pukaroge
-
Share this
- See Ghazal