Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Inamullah Khan Yaqeen

1727 - 1755 | Delhi, India

Known as a rival to Mir Taqi Mir. His father killed him for unknown reasons.

Known as a rival to Mir Taqi Mir. His father killed him for unknown reasons.

Sher of Inamullah Khan Yaqeen

622
Favorite

SORT BY

is ashk o aah meñ saudā bigaḌ na jaa.e kahīñ

ye dil kuchh āb-rasīda hai kuchh jalā bhī hai

is ashk o aah mein sauda bigaD na jae kahin

ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jala bhi hai

kyā badan hogā ki jis ke kholte jaame band

barg-e-gul tarah har nāḳhun mo.attar ho gayā

kya badan hoga ki jis ke kholte jame ka band

barg-e-gul ki tarah har naKHun moattar ho gaya

dostī bad balā hai is meñ ḳhudā

kisī dushman ko mubtalā na kare

dosti bad bala hai is mein KHuda

kisi dushman ko mubtala na kare

ḳhalvat ho aur sharāb ho ma.ashūq sāmne

zāhid tujhe qasam hai jo ho to kyā kare

KHalwat ho aur sharab ho mashuq samne

zahid tujhe qasam hai jo tu ho to kya kare

tasavvur us dahān-e-tañg ruḳhsat nahīñ detā

jo Tuk dam maar sakte ham to kuchh fikr-e-suḳhan karte

tasawwur us dahan-e-tang ka ruKHsat nahin deta

jo Tuk dam mar sakte hum to kuchh fikr-e-suKHan karte

haq mujhe bātil-āshnā na kare

maiñ butoñ se phirūñ ḳhudā na kare

lord by falsehood may I not be led astray

may I from these idols, never turn away

haq mujhe baatil-ashna na kare

main buton se phirun KHuda na kare

lord by falsehood may I not be led astray

may I from these idols, never turn away

agarche ishq meñ aafat hai aur balā bhī hai

nirā burā nahīñ ye shaġhl kuchh bhalā bhī hai

agarche ishq mein aafat hai aur bala bhi hai

nira bura nahin ye shaghl kuchh bhala bhi hai

umr fariyād meñ barbād ga.ī kuchh na huā

naala mash.hūr ġhalat hai ki asar kartā hai

umr fariyaad mein barbaad gai kuchh na hua

nala mashhur ghalat hai ki asar karta hai

chashm-e-tar par gar nahīñ kartā havā par rahm kar

de le saaqī ham ko mai ye abr-e-bārāñ phir kahāñ

chashm-e-tar par gar nahin karta hawa par rahm kar

de le saqi hum ko mai ye abr-e-baran phir kahan

ye vo aañsū haiñ jin se zohra ātishnāk ho jaave

agar piive koī un ko to jal kar ḳhaak ho jaave

ye wo aansu hain jin se zohra aatishnak ho jawe

agar piwe koi un ko to jal kar KHak ho jawe

sarīr-e-saltanat se āstān-e-yār behtar thā

hameñ zill-e-humā se sāya-e-dīvār behtar thā

TRANSLATION

Better than the throne of the realm, was the threshold of beloved,

Better than the shadow of phoenix was that of thy wall for us.

Sagar Akbarabadi

sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha

hamein zill-e-huma se saya-e-diwar behtar tha

TRANSLATION

Better than the throne of the realm, was the threshold of beloved,

Better than the shadow of phoenix was that of thy wall for us.

Sagar Akbarabadi

sau sau haiñ iltifāt taġhāful meñ yaar ke

begānagī se us koī āshnā nahīñ

sau sau hain iltifat taghaful mein yar ke

beganagi se us ki koi aashna nahin

misr meñ husn vo garmi-e-bāzār kahāñ

jins to hai pe zuleḳhā ḳharīdār kahāñ

misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan

jins to hai pe zuleKHa sa KHaridar kahan

mujhe zanjīr kar rakkhā hai in shahrī ġhazāloñ ne

nahīñ ma.alūm mere ba.ad vīrānoñ pe kyā guzrī

mujhe zanjir kar rakkha hai in shahri ghazalon ne

nahin malum mere baad viranon pe kya guzri

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now