Sher of Iqbal Sohail
kuchh aisā hai fareb-e-nargis-e-mastāna barsoñ se
ki sab bhūle hue haiñ kaaba o but-ḳhāna barsoñ se
kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se
ki sab bhule hue hain kaba o but-KHana barson se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
husn-e-fitrat kī aabrū mujh se
aab o gil meñ hai rañg-o-bū mujh se
husn-e-fitrat ki aabru mujh se
aab o gil mein hai rang-o-bu mujh se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na rahā koī taar dāman meñ
ab nahīñ hājat-e-rafū mujh ko
na raha koi tar daman mein
ab nahin hajat-e-rafu mujh ko
-
Tag : Khud-aziyyati
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo shabnam kā sukūñ ho yā ki parvāne kī betābī
agar uḌne kī dhun hogī to hoñge bāl-o-par paidā
wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi
agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhākistar-e-dil meñ to na thā ek sharar bhī
bekār use barbād kiyā mauj-e-sabā ne
KHakistar-e-dil mein to na tha ek sharar bhi
bekar use barbaad kiya mauj-e-saba ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āshob-e-iztirāb meñ khaTkā jo hai to ye
ġham terā mil na jaa.e ġham-e-rozgār meñ
aashob-e-iztirab mein khaTka jo hai to ye
gham tera mil na jae gham-e-rozgar mein
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaafī hai bahut vus.at-e-sahrā-e-zamāna
ham aur kahīñ DhūñD nikāleñge Thikāna
kafi hai bahut wusat-e-sahra-e-zamana
hum aur kahin DhunD nikalenge Thikana
jo tasavvur se māvarā na huā
vo to banda huā ḳhudā na huā
jo tasawwur se mawara na hua
wo to banda hua KHuda na hua
-
Tag : Tasawwur
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download