Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahmood Shaam's Photo'

Mahmood Shaam

1940 | Karachi, Pakistan

FormeOne of the most prominent journalists in Pakistan

FormeOne of the most prominent journalists in Pakistan

Sher of Mahmood Shaam

ye aur baat ki chāhat ke zaḳhm gahre haiñ

tujhe bhulāne koshish to varna hai bahut

ye aur baat ki chahat ke zaKHm gahre hain

tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut

bas ek apne qadmoñ chaap suntā huuñ

maiñ kaun huuñ ki bhare shahr meñ bhī tanhā huuñ

bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun

main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun

us ko dekhā to ye mahsūs huā

ham bahut duur the ḳhud se pahle

us ko dekha to ye mahsus hua

hum bahut dur the KHud se pahle

kitne chehre kitnī shakleñ phir bhī tanhā.ī vahī

kaun le aayā mujhe in ā.īnoñ ke darmiyāñ

kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi

kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan

aune-paune ġhazleñ bechīñ nazmoñ bevpār kiyā

dekho ham ne peT ḳhātir kyā kyā kārobār kiyā

aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya

chāñdnī shab jis ko DhūñDne aa.ī hai

ye kamra vo shaḳhs to kab chhoḌ gayā

chandni shab tu jis ko DhunDne aai hai

ye kamra wo shaKHs to kab ka chhoD gaya

ek jañgal jis meñ insāñ ko darindoñ se hai ḳhauf

ek jañgal jis meñ insāñ ḳhud se sahmā huā

ek jangal jis mein insan ko darindon se hai KHauf

ek jangal jis mein insan KHud se hi sahma hua

Recitation

Speak Now