Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohsin Zaidi's Photo'

Mohsin Zaidi

1935 - 2003 | Lucknow, India

Well-known progressive poet who hailed from Bahraich, a small town in UP, India.

Well-known progressive poet who hailed from Bahraich, a small town in UP, India.

Sher of Mohsin Zaidi

1.5K
Favorite

SORT BY

jaise do mulkoñ ko ik sarhad alag kartī huī

vaqt ne ḳhat aisā khīñchā mere us ke darmiyāñ

jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui

waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan

bichhaḌne vāloñ meñ ham jis se āshnā kam the

na jaane dil ne use yaad kyuuñ ziyāda kiyā

bichhaDne walon mein hum jis se aashna kam the

na jaane dil ne use yaad kyun ziyaada kiya

koī kashtī meñ tanhā rahā hai

kisī ke saath dariyā rahā hai

koi kashti mein tanha ja raha hai

kisi ke sath dariya ja raha hai

jaan kar chup haiñ vagarna ham bhī

baat karne hunar jānte haiñ

jaan kar chup hain wagarna hum bhi

baat karne ka hunar jaante hain

ye zulm dekhiye ki gharoñ meñ lagī hai aag

aur hukm hai makīn nikal kar na ghar se aa.eñ

ye zulm dekhiye ki gharon mein lagi hai aag

aur hukm hai makin nikal kar na ghar se aaen

koī akelā to maiñ sādgī-pasand na thā

pasand us ne bhī rañgoñ meñ rañg saada kiyā

koi akela to main sadgi-pasand na tha

pasand us ne bhi rangon mein rang sada kiya

ham ne bhī dekhī hai duniyā 'mohsin'

hai kidhar kis nazar jānte haiñ

hum ne bhi dekhi hai duniya 'mohsin'

hai kidhar kis ki nazar jaante hain

tiir o kamān aap bhī 'mohsin' sambhāliye

jab dostī aaḌ meñ ḳhanjar dikhā.ī de

tir o kaman aap bhi 'mohsin' sambhaaliye

jab dosti ki aaD mein KHanjar dikhai de

duur rahnā thā jab us ko 'mohsin'

mere nazdīk vo aayā kyuuñ thā

dur rahna tha jab us ko 'mohsin'

mere nazdik wo aaya kyun tha

libās badle nahīñ ham ne mausamoñ tarah

ki zeb-e-tan jo kiyā ek labāda kiyā

libas badle nahin hum ne mausamon ki tarah

ki zeb-e-tan jo kiya ek hi labaada kiya

sunte haiñ ki ābād yahāñ thā koī kumba

āsār bhī kahte haiñ yahāñ par koī ghar thā

sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba

aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha

agar chaman koī dar khulā bhī mere liye

sumūm ban ga.ī bād-e-sabā bhī mere liye

agar chaman ka koi dar khula bhi mere liye

sumum ban gai baad-e-saba bhi mere liye

har shaḳhs yahāñ gumbad-e-be-dar tarah hai

āvāz pe āvāz do suntā nahīñ koī

har shaKHs yahan gumbad-e-be-dar ki tarah hai

aawaz pe aawaz do sunta nahin koi

Recitation

Speak Now