Momin Khan Momin
Ghazal 51
Sher-o-Shayari 68
tum mire paas hote ho goyā
jab koī dūsrā nahīñ hotā
in such a manner are you close to me
when no one else at all there ever be
tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota
in such a manner are you close to me
when no one else at all there ever be
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
umr to saarī kaTī ishq-e-butāñ meñ 'momin'
āḳhirī vaqt meñ kyā ḳhaak musalmāñ hoñge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
umr to sari kaTi ishq-e-butan mein 'momin'
aaKHiri waqt mein kya KHak musalman honge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī yaanī va.ada nibāh kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
thī vasl meñ bhī fikr-e-judā.ī tamām shab
vo aa.e to bhī niiñd na aa.ī tamām shab
thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab
wo aae to bhi nind na aai tamam shab
-
Share this
- See Ghazal
tum hamāre kisī tarah na hue
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya mein kya nahin hota
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
Rubai 4
BOOKS 49
Image Shayari 16
ho ga.e naam-e-butaa.n sunte hii 'momin' be-qaraar ham na kahte the ki hazrat paarsaa kahne ko hai.n
hai kuchh to baat 'momin' jo chhaa ga.ii KHamoshii kis but ko de diyaa dil kyuu.n but se ban ga.e ho
vo jo ham me.n tum me.n qaraar thaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho vahii ya.anii va.ada nibaah kaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki thaa mire haal par mujhe sab hai yaad zaraa zaraa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho vo na.e gile vo shikaayate.n vo maze maze kii hikaayate.n vo har ek baat pe ruuThnaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho kabhii baiThe sab me.n jo ruu-ba-ruu to ishaarato.n hii se guftuguu vo bayaan shauq kaa barmalaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho hu.e ittifaaq se gar baham to vafaa jataane ko dam-ba-dam gila-e-malaamat-e-aqribaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho ko.ii baat aisii agar hu.ii ki tumhaare jii ko burii lagii to bayaa.n se pahle hii bhuulnaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho kabhii ham me.n tum me.n bhii chaah thii kabhii ham se tum se bhii raah thii kabhii ham bhii tum bhii the aashnaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho suno zikr hai ka.ii saal kaa ki kiyaa ik aap ne va.ada thaa so nibaahane kaa to zikr kyaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho kahaa mai.n ne baat vo koThe kii mire dil se saaf utar ga.ii to kahaa ki jaane mirii balaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho vo biga.Dnaa vasl kii raat kaa vo na maan.naa kisii baat kaa vo nahii.n nahii.n kii har aan adaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho jise aap ginte the aashnaa jise aap kahte the baa-vafaa mai.n vahii huu.n 'momin'-e-mubtalaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho