Sher of Mukhtar Siddiqui
merī āñkhoñ hī meñ the an-kahe pahlū us ke
vo jo ik baat sunī merī zabānī tum ne
meri aankhon hi mein the an-kahe pahlu us ke
wo jo ek baat suni meri zabani tum ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ to har dhuup meñ sāyoñ kā rahā huuñ juuyā
mujh se likhvā.ī sarāboñ kī kahānī tum ne
main to har dhup mein sayon ka raha hun juya
mujh se likhwai sarabon ki kahani tum ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bastiyāñ kaise na mamnūn hoñ dīvānoñ kī
vus.ateñ in meñ vahī laate haiñ vīrānoñ kī
bastiyan kaise na mamnun hon diwanon ki
wusaten in mein wahi late hain viranon ki
ibrat-ābād bhī dil hote haiñ insānoñ ke
daad miltī bhī nahīñ ḳhūñ-shuda armānoñ kī
ibrat-abaad bhi dil hote hain insanon ke
dad milti bhi nahin KHun-shuda armanon ki
kabhī fāsloñ kī masāfatoñ pe ubuur ho to ye kah sukūñ
mirā jurm hasrat-e-qurb hai to yahī kamī yahāñ sab meñ hai
kabhi faslon ki masafaton pe ubur ho to ye kah sukun
mera jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab mein hai
sahar-e-azal ko jo dī ga.ī vahī aaj tak hai musāfirī
ai tai kareñ to pata chale kahāñ kaun kis kī talab meñ hai
sahar-e-azal ko jo di gai wahi aaj tak hai musafiri
ai tai karen to pata chale kahan kaun kis ki talab mein hai
kyā kyā pukāreñ sisaktī dekhīñ lafzoñ ke zindānoñ meñ
chup hī kī talqīn kare hai ġhairat-mañd zamīr hameñ
kya kya pukaren sisakti dekhin lafzon ke zindanon mein
chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pherā bahār kā to baras do baras meñ hai
ye chaal hai ḳhizāñ kī jo ruk ruk ke tham ga.ī
phera bahaar ka to baras do baras mein hai
ye chaal hai KHizan ki jo ruk ruk ke tham gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nūr-e-sahar kahāñ hai agar shām-e-ġham ga.ī
kab iltifāt thā ki jo ḳhū-e-sitam ga.ī
nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai
kab iltifat tha ki jo KHu-e-sitam gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jin ḳhayāloñ ke ulaT pher meñ uljhīñ sāñseñ
un meñ kuchh aur bhī sāñsoñ kā izāfa kar leñ
jin KHayalon ke ulaT pher mein uljhin sansen
un mein kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raat ke ba.ad vo sub.h kahāñ hai din ke ba.ad vo shaam kahāñ
jo āshufta-sarī hai muqaddar us meñ qaid-e-maqām kahāñ
raat ke baad wo subh kahan hai din ke baad wo sham kahan
jo aashufta-sari hai muqaddar us mein qaid-e-maqam kahan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download