Sher of Taskeen Dehlavi
shab-e-visāl meñ sunñā paḌā fasāna-e-ġhair
samajhte kaash vo apnā na rāzdār mujhe
shab-e-visal mein sunna paDa fasana-e-ghair
samajhte kash wo apna na raazdar mujhe
abhī is raah se koī gayā hai
kahe detī hai shoḳhī naqsh-e-pā kī
abhi is rah se koi gaya hai
kahe deti hai shoKHi naqsh-e-pa ki
jis vaqt nazar paḌtī hai us shoḳh pe 'taskīñ'
kyā kahiye ki jī meñ mere kyā kyā nahīñ hotā
jis waqt nazar paDti hai us shoKH pe 'taskin'
kya kahiye ki ji mein mere kya kya nahin hota
taskīn' karūñ kyā dil-e-muztar kā ilaaj ab
kam-baḳht ko mar kar bhī to ārām na aayā
taskin' karun kya dil-e-muztar ka ilaj ab
kam-baKHt ko mar kar bhi to aaram na aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qāsid aayā hai vahāñ se tū zarā tham to sahī
baat to karne de us se dil-e-betāb mujhe
qasid aaya hai wahan se tu zara tham to sahi
baat to karne de us se dil-e-betab mujhe
kartā huuñ terī zulf se dil kā mubādala
har-chand jāntā huuñ ye saudā burā nahīñ
karta hun teri zulf se dil ka mubaadala
har-chand jaanta hun ye sauda bura nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pūchhe jo tujh se koī ki 'taskīñ' se kyuuñ milā
kah diijo haal dekh ke rahm aa gayā mujhe
puchhe jo tujh se koi ki 'taskin' se kyun mila
kah dijo haal dekh ke rahm aa gaya mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnī na kiije jaane kī jaldī shab-e-visāl
dekhe haiñ maiñ ne kaam bigaḌte shitāb meñ
itni na kije jaane ki jaldi shab-e-visal
dekhe hain main ne kaam bigaDte shitab mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahe detī haiñ ye nīchī nigāheñ
ki bālā-e-zamīñ kyā kyā na hogā
kahe deti hain ye nichi nigahen
ki baala-e-zamin kya kya na hoga
zabt kartā huuñ vale is par bhī hai ye josh-e-ashk
gir paḌā jo aañkh se qatra vo dariyā ho gayā
zabt karta hun wale is par bhi hai ye josh-e-ashk
gir paDa jo aankh se qatra wo dariya ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'taskīñ' ne naam le ke tirā vaqt-e-marg aah
kyā jaane kyā kahā thā kisī ne sunā nahīñ
'taskin' ne nam le ke tera waqt-e-marg aah
kya jaane kya kaha tha kisi ne suna nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download