Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Wahid Premi's Photo'

Wahid Premi

1938 - 1993 | Madhya Pradesh, India

Sher of Wahid Premi

3.2K
Favorite

SORT BY

gul ġhunche āftāb shafaq chāñd kahkashāñ

aisī koī bhī chiiz nahīñ jis meñ na ho

gul ghunche aaftab shafaq chand kahkashan

aisi koi bhi chiz nahin jis mein tu na ho

kisī ko be-sabab shohrat nahīñ miltī hai ai 'vāhid'

unhīñ ke naam haiñ duniyā meñ jin ke kaam achchhe haiñ

kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'wahid'

unhin ke nam hain duniya mein jin ke kaam achchhe hain

āzād to barsoñ se haiñ arbāb-e-gulistāñ

aa.ī na magar tāqat-e-parvāz abhī tak

aazad to barson se hain arbab-e-gulistan

aai na magar taqat-e-parwaz abhi tak

diloñ meñ zaḳhm hoñToñ par tabassum

usī naam to zinda-dilī hai

dilon mein zaKHm honTon par tabassum

usi ka nam to zinda-dili hai

hai shām-e-avadh gesū-e-dildār partav

aur sub.h-e-banaras hai ruḳh-e-yār partav

hai sham-e-awadh gesu-e-dildar ka partaw

aur subh-e-banaras hai ruKH-e-yar ka partaw

ba.ad taklīf ke rāhat hai yaqīnī 'vāhid'

raat aanā paiġhām-e-sahar hotā hai

baad taklif ke rahat hai yaqini 'wahid'

raat ka aana hi paigham-e-sahar hota hai

vo aur haiñ kināroñ pe paate haiñ jo sukūñ

ham ko qarār miltā hai tūfāñ god meñ

wo aur hain kinaron pe pate hain jo sukun

hum ko qarar milta hai tufan ki god mein

kabhī na husn-o-mohabbat meñ ban sakī 'vāhid'

vo apne naaz meñ ham apne bāñkpan meñ rahe

kabhi na husn-o-mohabbat mein ban saki 'wahid'

wo apne naz mein hum apne bankpan mein rahe

is tarah husn-o-mohabbat karo tum tafsīr

mujh ko ā.īna kaho aur unheñ tasvīr kaho

is tarah husn-o-mohabbat ki karo tum tafsir

mujh ko aaina kaho aur unhen taswir kaho

koī hañgāma-e-hayāt nahīñ

raat ḳhāmosh hai sahar ḳhāmosh

koi hangama-e-hayat nahin

raat KHamosh hai sahar KHamosh

koī gardish ho koī ġham ho koī mushkil ho

jis ko aanā ho hamāre vo muqābil aa.e

koi gardish ho koi gham ho koi mushkil ho

jis ko aana ho hamare wo muqabil aae

haq baat sar-e-bazm bhī kahne meñ ta.ammul

haq baat sar-e-dār kaho sochte kyā ho

haq baat sar-e-bazm bhi kahne mein tammul

haq baat sar-e-dar kaho sochte kya ho

ek muddat se isī uljhan meñ huuñ

un ko ḳhud ko kise sajda karūñ

ek muddat se isi uljhan mein hun

un ko ya KHud ko kise sajda karun

hujūm-e-ġham se milī hai hayāt-e-nau mujh ko

hujūm-e-dard se paayā hai hausla maiñ ne

hujum-e-gham se mili hai hayat-e-nau mujh ko

hujum-e-dard se paya hai hausla main ne

merī dīvāngī-e-ishq hai ik dars-e-jahāñ

mere girne se bahut log sambhal jaate haiñ

meri diwangi-e-ishq hai ek dars-e-jahan

mere girne se bahut log sambhal jate hain

ham vo rah-rav haiñ ki chalnā hai maslak jin

ham to Thukrā deñ agar raah meñ manzil aa.e

hum wo rah-raw hain ki chalna hi hai maslak jin ka

hum to Thukra den agar rah mein manzil aae

uf gardish-e-hayāt tirī fitna-sāziyāñ

apne vatan meñ duur haiñ ahl-e-vatan se ham

uf gardish-e-hayat teri fitna-saziyan

apne watan mein dur hain ahl-e-watan se hum

rāh-e-talab laakh masāfat girāñ sahī

duniyā ko maiñ jahāñ bhī milā tāza-dam milā

rah-e-talab ki lakh masafat giran sahi

duniya ko main jahan bhi mila taza-dam mila

na pūchhiye ki shab-e-hijr ham pe kyā guzrī

tamām raat jale sham-e-anjuman tarah

na puchhiye ki shab-e-hijr hum pe kya guzri

tamam raat jale sham-e-anjuman ki tarah

shaḳhsiyyat-e-fankār muamma nahīñ 'vāhid'

fan meñ huā kartā hai fankār partav

shaKHsiyyat-e-fankar muamma nahin 'wahid'

fan hi mein hua karta hai fankar ka partaw

ka.aba-o-dair-o-kalīsā tajassus kyuuñ ho

jab mire qalb meñ merā ḳhudā hai yaaro

kaba-o-dair-o-kalisa ka tajassus kyun ho

jab mere qalb hi mein mera KHuda hai yaro

kis shaan kis vaqār se kis bāñkpan se ham

guzre haiñ āzmā.ish-e-dār-o-rasan se ham

kis shan kis waqar se kis bankpan se hum

guzre hain aazmaish-e-dar-o-rasan se hum

añdheroñ meñ ujāle DhūñDhtā huuñ

ye husn-e-zan hai dīvāna-pan hai

andheron mein ujale DhunDhta hun

ye husn-e-zan hai ya diwana-pan hai

maiñ auroñ ko kyā parkhūñ ā.ina-e-ālam meñ

muhtāj-e-shanāsā.ī jab apnā chehrā hai

main auron ko kya parkhun aaina-e-alam mein

muhtaj-e-shanasai jab apna hi chehra hai

apnā nafas nafas hai ki sho.ala kaheñ jise

vo zindagī hai aag dariyā kaheñ jise

apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise

wo zindagi hai aag ka dariya kahen jise

āshiyāñ jalne pe buniyād na.ī paḌtī hai

aks-e-taḳhrīb ko ā.īna-e-tāmīr kaho

aashiyan jalne pe buniyaad nai paDti hai

aks-e-taKHrib ko aaina-e-tamir kaho

shab-e-firāq ka.ī baar gosha-e-dil se

uThī to aah magar aah be-asar uTThī

shab-e-firaq kai bar gosha-e-dil se

uThi to aah magar aah be-asar uTThi

kyuuñ shikva-e-be-mehrī-e-sāqī hai laboñ par

piinā hai to ḳhud baḌh ke piyo bāda-gusāro

kyun shikwa-e-be-mehri-e-saqi hai labon par

pina hai to KHud baDh ke piyo baada-gusaro

Recitation

Speak Now