Sher of Wajid Ali Shah Akhtar
yahī tashvīsh shab-o-roz hai bangāle meñ
lucknow phir kabhī dikhlā.e muqaddar merā
yahi tashwish shab-o-roz hai bangale mein
lucknow phir kabhi dikhlae muqaddar mera
ulfat ne tirī ham ko to rakkhā na kahīñ kā
dariyā kā na jañgal kā samā kā na zamīñ kā
ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka
dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dar-o-dīvār pe hasrat se nazar karte haiñ
ḳhush raho ahl-e-vatan ham to safar karte haiñ
dar-o-diwar pe hasrat se nazar karte hain
KHush raho ahl-e-watan hum to safar karte hain
be-muravvat ho bevafā ho tum
apne matlab ke āshnā ho tum
be-murawwat ho bewafa ho tum
apne matlab ke aashna ho tum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kamar dhokā dahan uqda ġhazāl āñkheñ parī chehra
shikam hiirā badan ḳhushbū jabīñ dariyā zabāñ iisā
kamar dhoka dahan uqda ghazal aankhen pari chehra
shikam hira badan KHushbu jabin dariya zaban isa
yaad meñ apne yār-e-jānī kī
ham ne mar mar ke zindagānī kī
yaad mein apne yar-e-jaani ki
hum ne mar mar ke zindagani ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj kal lucknow meñ ai 'aḳhtar'
dhuum hai terī ḳhush-bayānī kī
aaj kal lucknow mein ai 'aKHtar'
dhum hai teri KHush-bayani ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
turāb-e-pā-e-hasīnān-e-lakhna.ū hai ye
ye ḳhāksār hai 'aḳhtar' ko naqsh-e-pā kahiye
turab-e-pa-e-hasinan-e-lakhnau hai ye
ye KHaksar hai 'aKHtar' ko naqsh-e-pa kahiye
-
Tag : Lucknow
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gilaurī raqīboñ ne bhejī hai sāhab
kisī aur ko bhī khilā lījiyegā
gilauri raqibon ne bheji hai sahab
kisi aur ko bhi khila lijiyega
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhī ko vā.izā pand-o-nasīhat
kabhī us ko bhī samjhāyā to hotā
mujhi ko waiza pand-o-nasihat
kabhi us ko bhi samjhaya to hota
barā.e-sair mujh sā riñd mai-ḳhāne meñ gar aa.e
gire sāġhar luñDhe shīsha hañse saaqī bahe dariyā
barae-sair mujh sa rind mai-KHane mein gar aae
gire saghar lunDhe shisha hanse saqi bahe dariya
'aḳhtar'-e-zār bhī ho mus.haf-e-ruḳh par shaidā
faal ye nek hai qur.ān se ham dekhte haiñ
'aKHtar'-e-zar bhi ho mushaf-e-ruKH par shaida
fal ye nek hai quran se hum dekhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download