TOP 20 SHAYARI of Wazir Ali Saba Lakhnavi
dil meñ ik dard uThā āñkhoñ meñ aañsū bhar aa.e
baiThe baiThe hameñ kyā jāniye kyā yaad aayā
dil mein ek dard uTha aankhon mein aansu bhar aae
baiThe baiThe hamein kya jaaniye kya yaad aaya
baaqī rahe na farq zamīn āsmān meñ
apnā qadam uThā leñ agar darmiyāñ se ham
baqi rahe na farq zamin aasman mein
apna qadam uTha len agar darmiyan se hum
baat bhī aap ke aage na zabāñ se niklī
lījiye aa.e the ham soch ke kyā kyā dil meñ
baat bhi aap ke aage na zaban se nikli
lijiye aae the hum soch ke kya kya dil mein
aap hī apne zarā jaur-o-sitam ko dekheñ
ham agar arz kareñge to shikāyat hogī
aap hi apne zara jaur-o-sitam ko dekhen
hum agar arz karenge to shikayat hogi
kahte haiñ mere dost mirā haal dekh kar
dushman ko bhī ḳhudā na kare mubtalā-e-ishq
kahte hain mere dost mera haal dekh kar
dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-ishq
na kareñ aap vafā ham ko kyā
bevafā aap hī kahlā.iyegā
na karen aap wafa hum ko kya
bewafa aap hi kahlaiyega
-
Tag : Wafa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aadam se bāġh-e-ḳhuld chhuTā ham se kū-e-yār
vo ibtidā-e-rañj hai ye intihā-e-rañj
aadam se bagh-e-KHuld chhuTa hum se ku-e-yar
wo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qaid-e-maz.hab vāqa.ī ik rog hai
aadmī ko chāhiye āzād ho
qaid-e-mazhab waqai ek rog hai
aadmi ko chahiye aazad ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnī to dīd-e-ishq kī tāsīr dekhiye
jis samt dekhiye tirī tasvīr dekhiye
itni to did-e-ishq ki tasir dekhiye
jis samt dekhiye teri taswir dekhiye
kaleja kāñptā hai dekh kar is sard-mehrī ko
tumhāre ghar meñ kyā aa.e ki ham kashmīr meñ aa.e
kaleja kanpta hai dekh kar is sard-mehri ko
tumhaare ghar mein kya aae ki hum kashmir mein aae
mere baġhal meñ rah ke mujhī ko kiyā zalīl
nafrat sī ho ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb se
mere baghal mein rah ke mujhi ko kiya zalil
nafrat si ho gai dil-e-KHana-KHarab se
tirī talāsh meñ mah kī tarah maiñ phirtā huuñ
kahāñ tū raat ko ai āftāb rahtā hai
teri talash mein mah ki tarah main phirta hun
kahan tu raat ko ai aaftab rahta hai
ka.aba banā.iye ki kalīsā banā.iye
dil sā makāñ havāle kiyā hai janāb ke
kaba banaiye ki kalisa banaiye
dil sa makan hawale kiya hai janab ke
huā dhuup meñ bhī na kam husn-e-yār
kanhayyā banā vo jo sañvlā gayā
hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar
kanhayya bana wo jo sanwla gaya
roz o shab furqat-e-jānāñ meñ basar kī ham ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-daurāñ niklā
roz o shab furqat-e-jaanan mein basar ki hum ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauran nikla
sākin-e-dair huuñ ik but kā huuñ banda ba-ḳhudā
ḳhud vo kāfir haiñ jo kahte haiñ musalmāñ mujh ko
sakin-e-dair hun ek but ka hun banda ba-KHuda
KHud wo kafir hain jo kahte hain musalman mujh ko
ka.abe kī samt sajda kiyā dil ko chhoḌ kar
to kis taraf thā dhyān hamārā kidhar gayā
kabe ki samt sajda kiya dil ko chhoD kar
to kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya
ulfat-e-kūcha-e-jānāñ ne kiyā ḳhāna-ḳharāb
barhaman dair se ka.abe se musalmāñ niklā
ulfat-e-kucha-e-jaanan ne kiya KHana-KHarab
barhaman dair se kabe se musalman nikla
tumhārī zulf na girdāb-e-nāf tak pahuñchī
huī na chashma-e-haivāñ se faiz-yāb ghaTā
tumhaari zulf na girdab-e-naf tak pahunchi
hui na chashma-e-haiwan se faiz-yab ghaTa
ḳhud-raftagī hai chashm-e-haqīqat jo vā huī
darvāza khul gayā to maiñ ghar se nikal gayā
KHud-raftagi hai chashm-e-haqiqat jo wa hui
darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya