Sher of Syed Kashif Raza
vo jo maqām hai terā mirī kahānī meñ
usī maqām pe maiñ tere tazkire meñ rahūñ
wo jo maqam hai tera meri kahani mein
usi maqam pe main tere tazkire mein rahun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is qadar ġhaur se dekhā hai sarāpā us kā
yaad aatā hī nahīñ ab mujhe chehrā us kā
is qadar ghaur se dekha hai sarapa us ka
yaad aata hi nahin ab mujhe chehra us ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ apne-āp se kam bhī huuñ aur ziyāda bhī
vo jāntā bhī hai mujh ko to jāntā kyā hai
main apne-ap se kam bhi hun aur ziyaada bhi
wo jaanta bhi hai mujh ko to jaanta kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us pe bas aise hī ghabrā.ī huī phirtī thī
aañkh se husn simaTtā hī nahīñ thā us kā
us pe bas aise hi ghabrai hui phirti thi
aankh se husn simaTta hi nahin tha us ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī kabhī mujhe lagtā hai vo nahīñ hai vo
magar kabhī kabhī lagtā hai vo vahī to nahīñ
kabhi kabhi mujhe lagta hai wo nahin hai wo
magar kabhi kabhi lagta hai wo wahi to nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download